Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho, Urdu Ghazal By Kafeel Aazar Amrohvi

Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kafeel Aazar Amrohvi. Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گمشدہ تنہائیوں کی رازداں اچھی تو ہو

کفیل آزر امروہوی

گمشدہ تنہائیوں کی رازداں اچھی تو ہو

میں یہاں اچھا نہیں ہوں تم وہاں اچھی تو ہو

وقت رخصت بھیگے بھیگے ان دریچوں کی قسم

نور پیکر چاند صورت گلستاں اچھی تو ہو

تھرتھراتے کانپتے ہونٹوں کو آیا کچھ سکوں

اے زباں رکھتے ہوئے بھی بے زباں اچھی تو ہو

دھوپ نے جب آرزو کے جسم کو نہلا دیا

بن گئی تھیں تم وفا کا سائباں اچھی تو ہو

رات بھر چلے وظیفے وہ تہجد اور فجر

مل گیا اب تو صلہ اے میری ماں اچھی تو ہو

اس زمانے میں جب اپنوں کا بھروسہ ہو فریب

سوچتی رہتی ہو میں جاؤں کہاں اچھی تو ہو

جھلملاتے ہیں ستارے رات کو پلکوں پہ جب

چاند سے سنتی ہو میری داستاں اچھی تو ہو

وہ تمہاری اک سہیلی بن گئی تھی جو دلہن

اس سے خط لکھ کر کبھی پوچھا نہاں اچھی تو ہو

جب کہیں جاؤ تو لکھ دینا مجھے اپنا پتہ

پوچھنے ورنہ میں جاؤں گا کہاں اچھی تو ہو

تم سدا اچھی رہو آذرؔ کی ہے بس یہ دعا

فاصلے صدیوں کے ہیں اب درمیاں اچھی تو ہو

کفیل آزر امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho

Kafeel Aazar Amrohvi

gum-shuda tanhaiyon ki raaz-dan achchhi to ho
main yahan achchha nahin hun tum wahan achchhi to ho

waqt-e-ruKHsat bhige bhige in darichon ki qasam
nur-paikar chand-surat gulistan achchhi to ho

thartharaate kanpte honTon ko aaya kuchh sukun
ai zaban rakhte hue bhi be-zaban achchhi to ho

dhup ne jab aarzu ke jism ko nahla diya
ban gai thin tum wafa ka saeban achchhi to ho

raat bhar chille wazife wo tahajjud aur fajr
mil gaya ab to sila ai meri man achchhi to ho

is zamane mein jab apnon ka bharosa ho fareb
sochti rahti ho main jaun kahan achchhi to ho

jhilmilate hain sitare raat ko palkon pe jab
chand se sunti ho meri dastan achchhi to ho

wo tumhaari ek saheli ban gai thi jo dulhan
us se KHat likh kar kabhi puchha nihan achchhi to ho

jab kahin jao to likh dena mujhe apna pata
puchhne warna main jaunga kahan achchhi to ho

tum sada achchhi raho 'azar' ki hai bas ye dua
fasle sadiyon ke hain ab darmiyan achchhi to ho

(531) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho written by Kafeel Aazar Amrohvi at UrduPoint. Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho is one of the masterpieces written by Kafeel Aazar Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Kafeel Aazar Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kafeel Aazar Amrohvi' above.

Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.