Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut, Urdu Ghazal By Kaleem Usmani

Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kaleem Usmani. Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے اگرچہ شہر میں اپنی شناسائی بہت

کلیم عثمانی

ہے اگرچہ شہر میں اپنی شناسائی بہت

پھر بھی رہتا ہے ہمیں احساس تنہائی بہت

اب یہ سوچا ہے کہ اپنی ذات میں سمٹے رہیں

ہم نے کر کے دیکھ لی سب سے شناسائی بہت

منہ چھپا کر آستیں میں دیر تک روتے رہے

رات ڈھلتی چاندنی میں اس کی یاد آئی بہت

قطرہ قطرہ اشک غم آنکھوں سے آخر بہہ گئے

ہم نے پلکوں کی انہیں زنجیر پہنائی بہت

اپنا سایہ بھی جدا لگتا ہے اپنی ذات سے

ہم نے اس سے دل لگانے کی سزا پائی بہت

اب تو سیل درد تھم جائے سکوں دل کو ملے

زخم دل میں آ چکی ہے اب تو گہرائی بہت

شام کے سایوں کی صورت پھیلتے جاتے ہیں ہم

لگ رہی تنگ ہم کو گھر کی انگنائی بہت

آئنہ بن کے وہ صورت سامنے جب آ گئی

عکس اپنا دیکھ کر مجھ کو ہنسی آئی بہت

وہ سحر تاریکیوں میں آج بھی روپوش ہے

جس کے غم میں کھو چکی آنکھوں کی بینائی بہت

میں تو جھونکا تھا اسیر دام کیا ہوتا کلیمؔ

اس نے زلفوں کی مجھے زنجیر پہنائی بہت

کلیم عثمانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut

Kaleem Usmani

hai agarche shahr mein apni shanasai bahut
phir bhi rahta hai hamein ehsas-e-tanhai bahut

ab ye socha hai ki apni zat mein simTe rahen
hum ne kar ke dekh li sab se shanasai bahut

munh chhupa kar aastin mein der tak rote rahe
raat Dhalti chandni mein us ki yaad aai bahut

qatra qatra ashk-e-gham aankhon se aaKHir bah gae
hum ne palkon ki unhen zanjir pahnai bahut

apna saya bhi juda lagta hai apni zat se
hum ne us se dil lagane ki saza pai bahut

ab to sail-e-dard tham jae sakun dil ko mile
zaKHm-e-dil mein aa chuki hai ab to gahrai bahut

sham ke sayon ki surat phailte jate hain hum
lag rahi tang hum ko ghar ki angnai bahut

aaina ban ke wo surat samne jab aa gai
aks apna dekh kar mujh ko hansi aai bahut

wo sahar tarikiyon mein aaj bhi ru-posh hai
jis ke gham mein kho chuki aankhon ki binai bahut

main to jhonka tha asir-e-dam kya hota 'kalim'
us ne zulfon ki mujhe zanjir pahnai bahut

(846) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut written by Kaleem Usmani at UrduPoint. Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut is one of the masterpieces written by Kaleem Usmani. You can also find the complete poetry collection of Kaleem Usmani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kaleem Usmani' above.

Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Agarche Shahr Mein Apni Shanasai Bahut, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.