Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai, Urdu Nazam By Khaleel Mamoon

Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khaleel Mamoon. Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھے ابھی بہت دور جانا ہے

خلیل مامون

کیا پیروں کی تھکن اس سفر کو روک سکتی ہے

کیا راستے کے روڑے میرے ارادے کو توڑ سکتے ہیں

کیا میں یہاں سے واپس لوٹ جاؤں گا

کیا میں اور آگے چل نہیں پاؤں گا

نہیں نہیں

شاید مجھے جانا ہے بہت دور

گو ہوں میں تھکن سے چور

اور بے زار ہر منظر سے

جو بار بار لوٹ کر نظر کی اکتاہٹ بن جاتا ہے

وہی آسمان

وہی زمین

وہی چاند وہی ستارے

چاندنی میں چمکتے اور مہکتے وہی پھول

ہاتھوں میں چبھتے وہی ببول

وہی میرے من کو سلاخوں میں لہو کرنے والے اقوال

لیکن شاید اکتاہٹ بھی مانع نہ ہو

قدموں کی

شاید زندگی قیدی نہ بنے لمحوں کی

یہ تو ہوائے برگ و بار کی طرح ہے

جو کبھی نہ کبھی گزر جائے گی

میرے ذہن کے خزانے کی اوپری سطح کو بھی

کبھی نہ چھو پائے گی

شاید ابھی آگے بہت دور جانا ہے

اور ان بار بار آتے لمحوں

ہر بار آنکھ کے سامنے ابھرتے منظروں

دریاؤں صحراؤں جنگلوں

گاؤں اور شہروں

کے بھیڑ سے مجھے کوئی نیا رنگ

نکالنا ہوگا

اپنے پراگندہ ذہن کو قبر میں دفن کر کے

نیا بت نیا مندر بنانا ہوگا

پرانے لفظوں سے نیا لفظ

پرانے معانی سے نئے معانی

خلق کرنے ہوں گے

یہی نہیں

مجھے پارینہ کانوں میں

سماعتوں کے نئے پیمانے

آنکھوں کے لیے

نئے منظر نامے سے ترتیب دینے ہوں گے

چلتے چلتے میرے جوتے بھی گھس گئے ہیں

مجھے اف جوتوں کو ہی بدلنا ہوگا

اور آنکھوں پر نئی عینک لگانی ہوگی

تاکہ پرانے شیشے میں نئے رنگ

پرانے نہ دکھائی دیں

شاید یہ تھکن مجھے روک نہ پائے

شاید میں ان روڈوں کو پھلانگ دوں

شاید اپنے ہاتھوں سے ببولوں کو نوچ

پھینکوں

شاید میں سن کی سلاخوں کو توڑ کر

باہر آ جاؤں

اور ملگجی چاندنی کے عکس گھر

اپنے لہو سے سرخ رو کر دوں

اور قدم بڑھاتے آگے نگل جاؤں

شاید مجھے ابھی بہت دور جانا ہے

خلیل مامون

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai

Khaleel Mamoon

kya pairon ki thakan is safar ko rok sakti hai
kya raste ke roDe mere irade ko toD sakte hain
kya main yahan se wapas lauT jaunga
kya main aur aage chal nahin paunga
nahin nahin
shayad mujhe jaana hai bahut dur
go hun main thakan se chur
aur be-zar har manzar se
jo bar bar lauT kar nazar ki uktahaT ban jata hai
wahi aasman
wahi zamin
wahi chand wahi sitare
chandni mein chamakte aur mahakte wahi phul
hathon mein chubhte wahi babul
wahi mere man ko salaKHon mein lahu karne wale aqwal
lekin shayad uktahaT bhi mane na ho
qadmon ki
shayad zindagi qaidi na bane lamhon ki
ye to hawa-e-barg-o-bar ki tarah hai
jo kabhi na kabhi guzar jaegi
mere zehn ke KHazane ki upri sath ko bhi
kabhi na chhu paegi
shayad abhi aage bahut dur jaana hai
aur in bar bar aate lamhon
har bar aankh ke samne ubharte manzaron
dariyaon sahraon jangalon
ganw aur shahron
ke bhiD se mujhe koi naya rang
nikalna hoga
apne paraganda zehn ko qabr mein dafn kar ke
naya but naya mandir banana hoga
purane lafzon se naya lafz
purane maani se nae maani
KHalq karne honge
yahi nahin
mujhe parina kanon mein
samaaton ke nae paimane
aankhon ke liye
nae manzar-name se tartib dene honge
chalte chalte mere jute bhi ghis gae hain
mujhe uff juton ko hi badalna hoga
aur aankhon par nai ainak lagani hogi
taki purane shishe mein nae rang
purane na dikhai den
shayad ye thakan mujhe rok na pae
shayad main in roadon ko phalang dun
shayad apne hathon se babulon ko noch
phenkun
shayad main sin ki salaKHon ko toD kar
bahar aa jaun
aur malgaji chandni ke aks ghar
apne lahu se surKH-ru kar dun
aur qadam baDhate aage nigal jaun
shayad mujhe abhi bahut dur jaana hai

(649) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai written by Khaleel Mamoon at UrduPoint. Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai is one of the masterpieces written by Khaleel Mamoon. You can also find the complete poetry collection of Khaleel Mamoon by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khaleel Mamoon' above.

Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Mujhe Abhi Bahut Dur Jaana Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.