Bijli Ke Intizar Mein, Urdu Nazam By Khalid Irfan

Bijli Ke Intizar Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khalid Irfan. Bijli Ke Intizar Mein comes under the Social, Funny category of Urdu Nazam. You can read Bijli Ke Intizar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بجلی کے انتظار میں

خالد عرفان

بہت اچھلے وزیر تاب کاری وہ نہیں آئی

اندھیرے میں یہ شب تنہا گزاری وہ نہیں آئی

کسی نے چار چھ دس مرتبہ کاٹا تھا گالوں پر

میں کرتا ہی رہا مچھر شماری وہ نہیں آئی

ہمارے عشق کی تجدید میں تھا واپڈا حائل

اندھیرے ہی میں زلف اس کی سنواری وہ نہیں آئی

ہمارے ملک میں نور عدالت عام کرنے کو

بہت گرجا تھا عدل افتخاری وہ نہیں آئی

ذرا سی دیر کو باد بہاری آئی تھی لیکن

تڑپ اٹھے تھے گرمی سے بہاری وہ نہیں آئی

محلے سے تو سب آئے تھے شمع آرزو لے کر

حکومت کا تھا شاید پاؤں بھاری وہ نہیں آئی

کیا سنتوش نے انکار جب پنکھے کو جھلنے سے

تو چھت پر سو گئی مینا کماری وہ نہیں آئی

ہماری بے بسی کا اب تماشہ دیکھتے کیا ہو

ستارو تم تو سو جاؤ ہماری وہ نہیں آئی

خالد عرفان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bijli Ke Intizar Mein

Khalid Irfan

bahut uchhle wazir-e-tab-kari wo nahin aai
andhere mein ye shab-e-tanha guzari wo nahin aai

kisi ne chaar chhai das martaba kaTa tha galon par
main karta hi raha machchhar-shumari wo nahin aai

hamare ishq ki tajdid mein tha wapDa hail
andhere hi mein zulf us ki sanwari wo nahin aai

hamare mulk mein nur-e-adalat aam karne ko
bahut garja tha adl-e-iftiKHari wo nahin aai

zara si der ko baad-e-bahaari aai thi lekin
taDap uTThe the garmi se bihaari wo nahin aai

mohalle se to sab aae the sham-e-arzu le kar
hukumat ka tha shayad panw bhaari wo nahin aai

kiya santosh ne inkar jab pankhe ko jhalne se
to chhat par so gai mina-kumari wo nahin aai

hamari bebasi ka ab tamasha dekhte kya ho
sitaro tum to so jao hamari wo nahin aai

(1197) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bijli Ke Intizar Mein written by Khalid Irfan at UrduPoint. Bijli Ke Intizar Mein is one of the masterpieces written by Khalid Irfan. You can also find the complete poetry collection of Khalid Irfan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Irfan' above.

Bijli Ke Intizar Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Bijli Ke Intizar Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.