Dard-e-dil La-dawa Nahin Hota, Urdu Ghazal By Khalid Mahmood Amar

Dard-e-dil La-dawa Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khalid Mahmood Amar. Dard-e-dil La-dawa Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dard-e-dil La-dawa Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

درد دل لا دوا نہیں ہوتا

خالد محمود امر

درد دل لا دوا نہیں ہوتا

ہاں مگر حوصلہ نہیں ہوتا

غم خوشی رنگ زندگی کے ہیں

رات بن دن نیا نہیں ہوتا

روشنی سے چھپاتے ہیں چہرے

جب اندھیرا ذرا نہیں ہوتا

چند یادیں ہیں کچھ جواں سوچیں

کون تنہا سدا نہیں ہوتا

ٹھہرے پانی تو گدلے ہوتے ہیں

کیوں کہوں وہ جدا نہیں ہوتا

رہتے ہیں ایک گھر میں ہی لیکن

مدتوں سامنا نہیں ہوتا

مسکراؤں تو سب عمرؔ ہمدم

غم میں اک آشنا نہیں ہوتا

خالد محمود امر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dard-e-dil La-dawa Nahin Hota

Khalid Mahmood Amar

dard-e-dil la-dawa nahin hota
han magar hausla nahin hota

gham KHushi rang zindagi ke hain
raat bin din naya nahin hota

raushni se chhupate hain chehre
jab andhera zara nahin hota

chand yaaden hain kuchh jawan sochen
kaun tanha sada nahin hota

Thahre pani to gadle hote hain
kyun kahun wo juda nahin hota

rahte hain ek ghar mein hi lekin
muddaton samna nahin hota

muskuraun to sab 'umar' hamdam
gham mein ek aashna nahin hota

(587) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dard-e-dil La-dawa Nahin Hota written by Khalid Mahmood Amar at UrduPoint. Dard-e-dil La-dawa Nahin Hota is one of the masterpieces written by Khalid Mahmood Amar. You can also find the complete poetry collection of Khalid Mahmood Amar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Mahmood Amar' above.

Dard-e-dil La-dawa Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dard-e-dil La-dawa Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.