To Phir Kya Rah-e-hasti Mein Koi Nazuk Maqam Aaya, Urdu Ghazal By Khalish Barodvi

To Phir Kya Rah-e-hasti Mein Koi Nazuk Maqam Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khalish Barodvi. To Phir Kya Rah-e-hasti Mein Koi Nazuk Maqam Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read To Phir Kya Rah-e-hasti Mein Koi Nazuk Maqam Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تو پھر کیا راہ ہستی میں کوئی نازک مقام آیا

خلش بڑودوی

تو پھر کیا راہ ہستی میں کوئی نازک مقام آیا

زباں پر آج یہ بے ساختہ کیوں ان کا نام آیا

کہاں تک احتیاط سجدہ ہوتی راہ الفت میں

کہیں طور نظر آیا کہیں دل کا مقام آیا

جدا مقصد جدا مشرب جدا راہیں جدا منزل

نہ دنیا میرے کام آئی نہ میں دنیا کے کام آیا

کرشمہ سازیٔ فکر و نظر کا پوچھنا کیا ہے

طلوع صبح سے پہلے مجھے پیغام شام آیا

جہاں پر پھول کھلتے تھے وہاں کانٹے ہوئے پیدا

یہ کس کے دست قدرت میں گلستاں کا نظام آیا

خدا معلوم وہ ہیں یا ہے نیرنگی تصور کی

نظر کے سامنے اک پیکر حسن تمام آیا

حیات و موت کو یہ کشمکش دیکھی نہیں جاتی

اجل اس سمت آئی اس طرف ان کا پیام آیا

خلشؔ فطرت کی گل افشانیاں میرے ہی دم تک تھیں

نہ پھر کوئی نوید آئی نہ پھر کوئی پیام آیا

خلش بڑودوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

To Phir Kya Rah-e-hasti Mein Koi Nazuk Maqam Aaya

Khalish Barodvi

to phir kya rah-e-hasti mein koi nazuk maqam aaya
zaban par aaj ye be-saKHta kyon un ka nam aaya

kahan tak ehtiyat-e-sajda hoti rah-e-ulfat mein
kahin tur-e-nazar aaya kahin dil ka maqam aaya

juda maqsad juda mashrab juda rahen juda manzil
na duniya mere kaam aai na main duniya ke kaam aaya

karishma-sazi-e-fikr-o-nazar ka puchhna kya hai
tulu-e-subh se pahle mujhe paigham-e-sham aaya

jahan par phul khilte the wahan kanTe hue paida
ye kis ke dast-e-qudrat mein gulistan ka nizam aaya

KHuda malum wo hain ya hai nairangi tasawwur ki
nazar ke samne ek paikar-e-husn-e-tamam aaya

hayat-o-maut ko ye kashmakash dekhi nahin jati
ajal is samt aai us taraf un ka payam aaya

'KHalish' fitrat ki gul-afshaniyan mere hi dam tak thin
na phir koi nawed aai na phir koi payam aaya

(412) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read To Phir Kya Rah-e-hasti Mein Koi Nazuk Maqam Aaya written by Khalish Barodvi at UrduPoint. To Phir Kya Rah-e-hasti Mein Koi Nazuk Maqam Aaya is one of the masterpieces written by Khalish Barodvi. You can also find the complete poetry collection of Khalish Barodvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalish Barodvi' above.

To Phir Kya Rah-e-hasti Mein Koi Nazuk Maqam Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like To Phir Kya Rah-e-hasti Mein Koi Nazuk Maqam Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.