Ek Tis Ba-mushkil Tham Tham Kar Ashkon Ki Zaban Tak Pahunchi Hai, Urdu Ghazal By Khwaja Shauq

Ek Tis Ba-mushkil Tham Tham Kar Ashkon Ki Zaban Tak Pahunchi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Shauq. Ek Tis Ba-mushkil Tham Tham Kar Ashkon Ki Zaban Tak Pahunchi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Tis Ba-mushkil Tham Tham Kar Ashkon Ki Zaban Tak Pahunchi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اک ٹیس بہ مشکل تھم تھم کر اشکوں کی زباں تک پہنچی ہے

خواجہ شوق

اک ٹیس بہ مشکل تھم تھم کر اشکوں کی زباں تک پہنچی ہے

معلوم نہیں بربادئ دل پہنچی تو کہاں تک پہنچی ہے

بے تابیٔ غم بڑھتے بڑھتے کیا زخم نہاں تک پہنچی ہے

ہر درد نظر میں ابھرا ہے ہر سانس فغاں تک پہنچی ہے

کتنے تو فریب منزل میں احساس طلب تک کھو بیٹھے

حالانکہ ابھی دنیائے نظر منزل کے نشاں تک پہنچی ہے

کیا چارۂ درد محرومی آنے کو ہزار آ جائے ہنسی

یہ چوٹ ذرا سی چوٹ سہی پھر بھی دل و جاں تک پہنچی ہے

حالات سے کچھ ہٹ کر بھی کبھی حالات سمجھنے پڑتے ہیں

لیکن یہ متاع دور رسی کچھ دیدہ وراں تک پہنچی ہے

کتنے ہی غموں کو دنیا نے دے دی ہے زباں افسانوں کی

بربادیٔ اہل دل لیکن کب شرح و بیاں تک پہنچی ہے

اب تک ہے فغان نیم شبی محروم اثر تو رہنے دو

کیا کم ہے یہی آواز شکست دل تو وہاں تک پہنچی ہے

ممکن ہے کہ شوقؔ اب وہ خود بھی تسکین تمنا دے نہ سکیں

پردے میں ہنسی کے پوشیدہ فریاد یہاں تک پہنچی ہے

خواجہ شوق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Tis Ba-mushkil Tham Tham Kar Ashkon Ki Zaban Tak Pahunchi Hai

Khwaja Shauq

ek Tis ba-mushkil tham tham kar ashkon ki zaban tak pahunchi hai
malum nahin barbaadi-e-dil pahunchi to kahan tak pahunchi hai

be-tabi-e-gham baDhte baDhte kya zaKHm-e-nihan tak pahunchi hai
har dard nazar mein ubhra hai har sans fughan tak pahunchi hai

kitne to fareb-e-manzil mein ehsas-e-talab tak kho baiThe
haalanki abhi duniya-e-nazar manzil ke nishan tak pahunchi hai

kya chaara-e-dard-e-mahrumi aane ko hazar aa jae hansi
ye choT zara si choT sahi phir bhi dil-o-jaan tak pahunchi hai

haalat se kuchh haT kar bhi kabhi haalat samajhne paDte hain
lekin ye mataa-e-dur-rasi kuchh dida-waran tak pahunchi hai

kitne hi ghamon ko duniya ne de di hai zaban afsanon ki
barbaadi-e-ahl-e-dil lekin kab sharh-o-bayan tak pahunchi hai

ab tak hai fughan-e-nim-shabi mahrum-e-asar to rahne do
kya kam hai yahi aawaz-e-shikast-e-dil to wahan tak pahunchi hai

mumkin hai ki 'shauq' ab wo KHud bhi taskin-e-tamanna de na saken
parde mein hansi ke poshida fariyaad yahan tak pahunchi he

(588) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Tis Ba-mushkil Tham Tham Kar Ashkon Ki Zaban Tak Pahunchi Hai written by Khwaja Shauq at UrduPoint. Ek Tis Ba-mushkil Tham Tham Kar Ashkon Ki Zaban Tak Pahunchi Hai is one of the masterpieces written by Khwaja Shauq. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Shauq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Shauq' above.

Ek Tis Ba-mushkil Tham Tham Kar Ashkon Ki Zaban Tak Pahunchi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Tis Ba-mushkil Tham Tham Kar Ashkon Ki Zaban Tak Pahunchi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.