KHushi Hai Na Gham Hai, Urdu Ghazal By Mahmood Beg Saaz

KHushi Hai Na Gham Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahmood Beg Saaz. KHushi Hai Na Gham Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHushi Hai Na Gham Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خوشی ہے نہ غم ہے

محمود بیگ ساز

خوشی ہے نہ غم ہے

یہ کیسا ستم ہے

بھرم ہی بھرم ہے

کسے کس کا غم ہے

ابھی دم میں دم ہے

خدا کا کرم ہے

وفا ہے جہاں میں

مگر کالعدم ہے

دگر گوں زمانہ

نگوں جام جم ہے

کرم اور مجھ پر

ستم گر ستم ہے

ہے جس سر میں سودا

وہ خم تھا نہ خم ہے

خدا پھر خدا ہے

صنم پھر صنم ہے

ہر آنسو شرارہ

خدا کی قسم ہے

ہوئے گھر سے بے گھر

یہ ایثار کم ہے

پڑھو سازؔ اس کو

جو دل پر رقم ہے

محمود بیگ ساز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHushi Hai Na Gham Hai

Mahmood Beg Saaz

KHushi hai na gham hai
ye kaisa sitam hai

bharam hi bharam hai
kise kis ka gham hai

abhi dam mein dam hai
KHuda ka karam hai

wafa hai jahan mein
magar kal-adam hai

digar-gun zamana
nigun jam-e-jam hai

karam aur mujh par
sitamgar sitam hai

hai jis sar mein sauda
wo KHam tha na KHam hai

KHuda phir KHuda hai
sanam phir sanam hai

har aansu sharara
KHuda ki qasam hai

hue ghar se be-ghar
ye isar kam hai

paDho 'saz' is ko
jo dil par raqam hai

(481) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHushi Hai Na Gham Hai written by Mahmood Beg Saaz at UrduPoint. KHushi Hai Na Gham Hai is one of the masterpieces written by Mahmood Beg Saaz. You can also find the complete poetry collection of Mahmood Beg Saaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahmood Beg Saaz' above.

KHushi Hai Na Gham Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHushi Hai Na Gham Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.