Main Aur Tum, Urdu Nazam By Maimoona Abbas Khan

Main Aur Tum is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Maimoona Abbas Khan. Main Aur Tum comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Main Aur Tum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں اور تم

میمونہ عباس خان

رات کے پچھلے پہر کی سنسان سڑکیں

رم جھم برستی بارش کی پھوار میں بھیگتی

جیسے جی اٹھی تھیں

جب میرے ہاتھ اپنے ہاتھوں میں لئے تم نے

لمس کی حدت سے بوجھل ہوتی

بے ترتیب سانسوں کے بیچ الجھتی

اپنی دل نشین آواز

میرے کانوں میں تمہارے لیے

میری آخری نظم صورت اتاری تھی

اس انمول لمحے میں

تمہاری ذات کے سحر میں کھوئی ہوئی میں

کسی انجان سی یاد کی کسک تلے

دھیرے سے سلگتے ہوئے تم

محبت کا الوہی نغمہ الاپتیں

گاڑی کے شیشوں سے ٹکراتیں

رم جھم برستی بوندیں

ڈیش بورڈ پہ دھری بھاپ اڑاتی

ہمارے لبوں میں پیوست ہونے کو بیقرار

کافی کی دو منتظر پیالیاں

چہار سو چھائی تمہارے احساس کی خوشبو سے

جیسے جاوداں ہو چلے تھے

یاد نہیں پڑتا ہے اب

کہ میں تم اور کافی کی مہک

بارش کے ہالے میں

تمہاری نظموں کی چھتری تلے

ایک دوسرے میں کتنا گھل گئے تھے

بس اتنا پتہ ہے

کہ

وقت

اس لمحے

اپنی مٹھی میں قید

ہمارے حصے کے پل

ہم پہ وارنے

ٹھہر گیا تھا

میمونہ عباس خان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Aur Tum

Maimoona Abbas Khan

raat ke pichhle pahar ki sunsan saDken
rim-jhim barasti barish ki phuwar mein bhigti
jaise ji uThi thin
jab mere hath apne hathon mein liye tum ne
lams ki hiddat se bojhal hoti
be-tartib sanson ke beach ulajhti
apni dil-nashin aawaz
mere kanon mein tumhaare liye
meri aaKHiri nazm surat utari thi

is anmol lamhe mein
tumhaari zat ke sehr mein khoi hui main
kisi anjaan si yaad ki kasak tale
dhire se sulagte hue tum
mohabbat ka uluhi naghma alaptin
gaDi ke shishon se Takraatin
rim-jhim barasti bunden
dashboard pe dhari bhap uDati
hamare labon mein paiwast hone ko be-qarar
kafi ki do muntazir pyaliyan
chahaar-su chhai tumhaare ehsas ki KHushbu se
jaise jawedan ho chale the

yaad nahin paDta hai ab
ki main tum aur kafi ki mahak
barish ke haale mein
tumhaari nazmon ki chhatri tale
ek dusre mein kitna ghul gae the

bas itna pata hai
ki
waqt
is lamhe
apni muTThi mein qaid
hamare hisse ke pal
hum pe warne
Thahar gaya tha

(857) ووٹ وصول ہوئے

You can read Main Aur Tum written by Maimoona Abbas Khan at UrduPoint. Main Aur Tum is one of the masterpieces written by Maimoona Abbas Khan. You can also find the complete poetry collection of Maimoona Abbas Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Maimoona Abbas Khan' above.

Main Aur Tum is a widely read Urdu Nazam. If you like Main Aur Tum, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.