Machchhar Se Jang, Urdu Nazam By Maqbool Ahmad Dehlvi

Machchhar Se Jang is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Maqbool Ahmad Dehlvi. Machchhar Se Jang comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Machchhar Se Jang on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مچھر سے جنگ

مقبول احمد دہلوی

سناؤں میں اپنی شجاعت کا قصہ

دلیری کا قصہ حماقت کا قصہ

مسہری پہ لیٹا جو سونے کی خاطر

ہوا ایک مچھر مرے پاس حاضر

مجھے فلمی گانے سنانے لگا وہ

مری نیند گا کر اڑانے لگا وہ

کہا میں نے مچھر میاں رہنے دو بس

کہیں اور گاؤ مجھے سونے دو بس

یہ سن کر وہ اتنا ہوا گرم مجھ پر

کہ فوراً ہی چہرے پہ آیا جھپٹ کر

مرے گال پہ اس نے زوروں سے کاٹا

کہ تکلیف سے میں بہت تلملایا

دو ہتھڑ جو مچھر کے غصہ سے مارا

پکڑ کر مرے پیر وہ پھر پکارا

نہیں مارنا اتنا آسان مجھ کو

ترا خون پی کر ہی چھوڑوں گا تجھ کو

یہ کہہ کر مرے پاؤں پر کاٹ کھایا

میں اک بار پھر درد سے تلملایا

کئی ہاتھ مارے مگر وارے مچھر

لگا ہنسنے کمرے کا چکر لگا کر

غرور اس کا مجھ سے نہ دیکھا گیا جب

مرا غصہ حد سے سوا ہو گیا جب

تو میں نے بھی چپکے سے ہاکی اٹھا کر

نظر اپنی مچھر کی جانب اٹھا کر

گھما کر ذرا میں نے ہاکی جو ماری

ہوئی جان مچھر کی اللہ کو پیاری

مقبول احمد دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Machchhar Se Jang

Maqbool Ahmad Dehlvi

sunaun main apni shujaat ka qissa
dileri ka qissa himaqat ka qissa
masahri pe leTa jo sone ki KHatir
hua ek machchhar mere pas hazir
mujhe filmi gane sunane laga wo
meri nind ga kar uDane laga wo
kaha main ne machchhar miyan rahne do bas
kahin aur gao mujhe sone do bas
ye sun kar wo itna hua garm mujh par
ki fauran hi chehre pe aaya jhapaT kar
mere gal pe us ne zoron se kaTa
ki taklif se main bahut tilmilaya
do-hatthaD jo machchhar ke ghussa se mara
pakaD kar mere pair wo phir pukara
nahin marna itna aasan mujh ko
tera KHun pi kar hi chhoDunga tujh ko
ye kah kar mere panw par kaT khaya
main ek bar phir dard se tilmilaya
kai hath mare magar ware machchhar
laga hansne kamre ka chakkar laga kar
ghurur us ka mujh se na dekha gaya jab
mera ghussa had se siwa ho gaya jab
to main ne bhi chupke se hokey uTha kar
nazar apni machchhar ki jaanib uTha kar
ghuma kar zara main ne hokey jo mari
hui jaan machchhar ki allah ko pyari

(580) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Machchhar Se Jang written by Maqbool Ahmad Dehlvi at UrduPoint. Machchhar Se Jang is one of the masterpieces written by Maqbool Ahmad Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Maqbool Ahmad Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Maqbool Ahmad Dehlvi' above.

Machchhar Se Jang is a widely read Urdu Nazam. If you like Machchhar Se Jang, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.