Gham Ke Tufan Dil-e-muztar Mein Thahar Jate Hain, Urdu Ghazal By Masoom Sharqi

Gham Ke Tufan Dil-e-muztar Mein Thahar Jate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Masoom Sharqi. Gham Ke Tufan Dil-e-muztar Mein Thahar Jate Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gham Ke Tufan Dil-e-muztar Mein Thahar Jate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غم کے طوفاں دل مضطر میں ٹھہر جاتے ہیں

معصوم شرقی

غم کے طوفاں دل مضطر میں ٹھہر جاتے ہیں

عیش کے لمحے تو پل بھر میں گزر جاتے ہیں

حیف صد حیف کہ نا قدرئ فن کے ہاتھوں

کتنے فن کار لہو تھوک کے مر جاتے ہیں

وہ پہنچ سکتے نہیں بام ترقی پہ کبھی

وقت کے زینے سے جو لوگ اتر جاتے ہیں

اہل دانش پہ اٹھاتا نہیں انگلی کوئی

جتنے الزام ہیں دیوانوں کے سر جاتے ہیں

عزم و ہمت کو بنا لیتے ہیں جو راہنما

سخت راہوں سے بھی ہنس ہنس کے گزر جاتے ہیں

اپنے احساس کے جلتے ہوئے ویرانے میں

خشک پتوں کی طرح لوگ بکھر جاتے ہیں

جب شب غم میں مجھے تیرا خیال آتا ہے

میری تنہائی کے لمحات سنور جاتے ہیں

تحفۂ مہر و وفا کون یہاں دیتا ہے

دل کا کشکول لئے آپ کدھر جاتے ہیں

کس طرح وقت کی ٹھوکر وہ کریں گے برداشت

دل دھڑکنے کی صدا سن کے جو ڈر جاتے ہیں

ان کے سائے سے بھی تم دور رہو اے معصومؔ

اپنے وعدے سے جو احباب مکر جاتے ہیں

معصوم شرقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gham Ke Tufan Dil-e-muztar Mein Thahar Jate Hain

Masoom Sharqi

gham ke tufan dil-e-muztar mein Thahar jate hain
aish ke lamhe to pal bhar mein guzar jate hain

haif-sad-haif ki na-qadri-e-fan ke hathon
kitne fankar lahu thuk ke mar jate hain

wo pahunch sakte nahin baam-e-taraqqi pe kabhi
waqt ke zine se jo log utar jate hain

ahl-e-danish pe uThata nahin ungli koi
jitne ilzam hain diwanon ke sar jate hain

azm-o-himmat ko bana lete hain jo rah-numa
saKHt rahon se bhi hans hans ke guzar jate hain

apne ehsas ke jalte hue virane mein
KHushk patton ki tarah log bikhar jate hain

jab shab-e-gham mein mujhe tera KHayal aata hai
meri tanhai ke lamhat sanwar jate hain

tohfa-e-mahr-o-wafa kaun yahan deta hai
dil ka kashkol liye aap kidhar jate hain

kis tarah waqt ki Thokar wo karenge bardasht
dil dhaDakne ki sada sun ke jo Dar jate hain

un ke sae se bhi tum dur raho ai 'masum'
apne wade se jo ahbab mukar jate hain

(593) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gham Ke Tufan Dil-e-muztar Mein Thahar Jate Hain written by Masoom Sharqi at UrduPoint. Gham Ke Tufan Dil-e-muztar Mein Thahar Jate Hain is one of the masterpieces written by Masoom Sharqi. You can also find the complete poetry collection of Masoom Sharqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Masoom Sharqi' above.

Gham Ke Tufan Dil-e-muztar Mein Thahar Jate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gham Ke Tufan Dil-e-muztar Mein Thahar Jate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.