Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga, Urdu Ghazal By Meenakshi Jijivisha

Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meenakshi Jijivisha. Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اپنی ہستی مٹا کے کیا ہوگا

مناکشی ججیوشا

اپنی ہستی مٹا کے کیا ہوگا

اس کو اپنا بنا کے کیا ہوگا

جن کے چہرہ پہ ہیں کئی چہرہ

ان کو شیشہ دکھا کے کیا ہوگا

اپنے حق کے لیے لڑو کھل کر

یوں ہی آنسو بہا کے کیا ہوگا

جب ہیں پردیس میں سجن تو پھر

ہاتھ مہندی رچا کے کیا ہوگا

بے وفاؤں کو حال دل اپنا

چھوڑیئے بھی سنا کے کیا ہوگا

ان کو خود پر بھی جب یقین نہیں

میرا سر بھی کٹا کے کیا ہوگا

جو کبھی ہم کو پوچھتا ہی نہیں

اس کی محفل میں جا کے کیا ہوگا

کھڑکیاں ذہن کی نہیں کھولیں

صرف شمعیں جلا کے کیا ہوگا

اپنے اعمال پر نظر رکھئے

عیب ان کے گنا کے کیا ہوگا

تو جو دنیا میں بن رہا ہے خدا

سامنے پھر خدا کے کیا ہوگا

یہ خبر آئی تم نہ آؤ گے

پھر تو یہ گھر سجا کے کیا ہوگا

ذکر سے جن کے دھڑکنیں بڑھ جائیں

ان سے نظریں ملا کے کیا ہوگا

جب ترے پیار پہ یقیں ہے ہمیں

پھر ہمیں آزما کے کیا ہوگا

زندگی میں اگر سکون نہ ہو

پھر یہ دولت کما کے کیا ہوگا

جو ہیں بونے رہیں گے بونے ہی

ان کو سر پر بٹھا کے کیا ہوگا

مناکشی ججیوشا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga

Meenakshi Jijivisha

apni hasti miTa ke kya hoga
us ko apna bana ke kya hoga

jin ke chehre pe hain kai chehre
un ko shisha dikha ke kya hoga

apne haq ke liye laDo khul kar
yun hi aansu baha ke kya hoga

jab hain pardes mein sajan to phir
hath mehndi racha ke kya hoga

be-wafaon ko haal-e-dil apna
chhoDiye bhi suna ke kya hoga

un ko KHud par bhi jab yaqin nahin
mera sar bhi kaTa ke kya hoga

jo kabhi hum ko puchhta hi nahin
us ki mahfil mein ja ke kya hoga

khiDkiyan zehn ki nahin kholin
sirf shamen jala ke kya hoga

apne aamal par nazar rakhiye
aib un ke gina ke kya hoga

tu jo duniya mein ban raha hai KHuda
samne phir KHuda ke kya hoga

ye KHabar aai tum na aaoge
phir to ye ghar saja ke kya hoga

zikr se jin ke dhaDkanen baDh jaen
un se nazren mila ke kya hoga

jab tere pyar pe yaqin hai hamein
phir hamein aazma ke kya hoga

zindagi mein agar sukun na ho
phir ye daulat kama ke kya hoga

jo hain baune rahenge baune hi
un ko sar par biTha ke kya hoga

(577) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga written by Meenakshi Jijivisha at UrduPoint. Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga is one of the masterpieces written by Meenakshi Jijivisha. You can also find the complete poetry collection of Meenakshi Jijivisha by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meenakshi Jijivisha' above.

Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga is a widely read Urdu Ghazal. If you like Apni Hasti MiTa Ke Kya Hoga, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.