Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein, Urdu Ghazal By Mirza Maseeta Beg Muntahi

Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mirza Maseeta Beg Muntahi. Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیر و حرم کو چھوڑ کے اے دل چل بیٹھو میخانے میں

مرزا مسیتابیگ منتہی

دیر و حرم کو چھوڑ کے اے دل چل بیٹھو میخانے میں

خوب گزر جائے گی اپنی ساقی سے یارانے میں

سیر طبیعت ہو جائے گی نشہ جو ہے ہووے گا وہی

فرق نہیں ہے ساقی ہرگز چلو میں پیمانے میں

روح ہے جب تک جسم کے اندر جسم پہ میرے رونق ہے

کاشانہ آباد ہے جب تک بلبل ہے کاشانے میں

دست تمنا قطع ہوا برباد ہوئی ہے حرص و ہوا

زیست کی صورت اپنی بندھی اے نفس ترے مر جانے میں

سچ ہے دل کو اپنے بھی جز یاد صنم کچھ دھیان نہیں

دیکھ تو اے ناصح کیسی ہشیاری ہے دیوانے میں

فکر دنیا سے ہیں چھٹے اس رنج جہاں سے پائی نجات

لاکھ طرح کی راحت پائی اک اپنے مر جانے میں

پیش جنون بختہ اے دل موت تو زیست سے خوشتر ہے

شمع کے آگے رقص کناں تھا پروانہ جل جانے میں

حسن نیرنگ اس مہ رو کا دل حزیں میں رہتا ہے

چشم بینا ہو تو دیکھے بستی ہے ویرانے میں

نقش محبت کہیں نہ پایا لوح دل پر انساں کے

پھرا قلم کی صورت سے میں برسوں اک اک خانے میں

مرزا مسیتابیگ منتہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein

Mirza Maseeta Beg Muntahi

dair-o-haram ko chhoD ke ai dil chal baiTho maiKHane mein
KHub guzar jaegi apni saqi se yarane mein

sair tabiat ho jaegi nasha jo hai howega wahi
farq nahin hai saqi hargiz chullu mein paimane mein

ruh hai jab tak jism ke andar jism pe mere raunaq hai
kashana aabaad hai jab tak bulbul hai kashane mein

dast-e-tamanna qata hua barbaad hui hai hirs-o-hawa
zist ki surat apni bandhi ai nafs tere mar jaane mein

sach hai dil ko apne bhi juz yaad sanam kuchh dhyan nahin
dekh to ai naseh kaisi hushyari hai diwane mein

fikr-e-duniya se hain chhuTe is ranj-e-jahan se pai najat
lakh tarah ki rahat pai ek apne mar jaane mein

pesh-e-junun-e-baKHta ai dil maut to zist se KHush-tar hai
shama ke aage raqs-kunan tha parwana jal jaane mein

husn-e-nairang us mah-ru ka dil-e-hazin mein rahta hai
chashm-e-bina ho to dekhe basti hai virane mein

naqsh-e-mohabbat kahin na paya lauh-e-dil par insan ke
phira qalam ki surat se main barson ek ek KHane mein

(421) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein written by Mirza Maseeta Beg Muntahi at UrduPoint. Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein is one of the masterpieces written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. You can also find the complete poetry collection of Mirza Maseeta Beg Muntahi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mirza Maseeta Beg Muntahi' above.

Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.