Kaun Sayyaad Idhar Bahr-e-shikar Aata Hai, Urdu Ghazal By Miyan Dad Khan Sayyah

Kaun Sayyaad Idhar Bahr-e-shikar Aata Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Miyan Dad Khan Sayyah. Kaun Sayyaad Idhar Bahr-e-shikar Aata Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kaun Sayyaad Idhar Bahr-e-shikar Aata Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کون صیاد ادھر بہر شکار آتا ہے

میاں داد خاں سیاح

کون صیاد ادھر بہر شکار آتا ہے

طائر دل قفس تن میں جو گھبراتا ہے

زلف مشکیں کا جو اس شوخ کے دھیان آتا ہے

زخم سے سینۂ مجروح کا چر جاتا ہے

ہجر میں موت بھی آئی نہ مجھے سچ ہے مثل

وقت پر کون کسی کے کوئی کام آتا ہے

اب تو اللہ ہے یاران وطن کا حافظ

دشت میں جوش جنوں ہم کو لیے جاتا ہے

ڈوب کر چاہ ذقن سینہ مرا دل نکلا

قد آدم سے سوا آب نظر آتا ہے

مژدہ اے دل کہ مسیحا نے دیا صاف جواب

اب کوئی دم کو لبوں پر مرا دم آتا ہے

تیغ سی چلتی ہے قاتل کی دم جنگ زباں

صلح کا نام جو لیتا ہے تو ہکلاتا ہے

طرۂ کاکل پیچاں رخ نورانی پر

چشمۂ آئینہ میں سانپ سا لہراتا ہے

شوق طوف حرم کوئے صنم کا دن رات

صورت نقش قدم ٹھوکریں کھلواتا ہے

دو بہ دو عاشق شیدا سے وہ ہوگا کیونکر

آئینے میں بھی جو منہ دیکھتے شرماتا ہے

سخت پچھتاتے ہیں ہم دے کے دل اس کو سیاحؔ

اپنی افسوس جوانی پہ ہمیں آتا ہے

میاں داد خاں سیاح

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kaun Sayyaad Idhar Bahr-e-shikar Aata Hai

Miyan Dad Khan Sayyah

kaun sayyaad idhar bahr-e-shikar aata hai
tair-e-dil qafas-e-tan mein jo ghabraata hai

zulf-e-mushkin ka jo is shoKH ke dhyan aata hai
zaKHm se sina-e-majruh ka char jata hai

hijr mein maut bhi aai na mujhe sach hai masal
waqt par kaun kisi ke koi kaam aata hai

ab to allah hai yaran-e-watan ka hafiz
dasht mein josh-e-junun hum ko liye jata hai

Dub kar chah-e-zaqan sina mera dil nikla
qadd-e-adam se siwa aab nazar aata hai

muzhda ai dil ki masiha ne diya saf jawab
ab koi dam ko labon par mera dam aata hai

tegh si chalti hai qatil ki dam-e-jang zaban
sulh ka nam jo leta hai to haklata hai

turra-e-kakul-e-pechan ruKH-e-nurani par
chashma-e-aina mein sanp sa lahraata hai

shauq tauf-e-haram-e-ku-e-sanam ka din raat
surat-e-naqsh-e-qadam Thokaren khilwata hai

du-ba-du aashiq-e-shaida se wo hoga kyunkar
aaine mein bhi jo munh dekhte sharmata hai

saKHt pachhtate hain hum de ke dil us ko 'sayyah'
apni afsos jawani pe hamein aata hai

(637) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kaun Sayyaad Idhar Bahr-e-shikar Aata Hai written by Miyan Dad Khan Sayyah at UrduPoint. Kaun Sayyaad Idhar Bahr-e-shikar Aata Hai is one of the masterpieces written by Miyan Dad Khan Sayyah. You can also find the complete poetry collection of Miyan Dad Khan Sayyah by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Miyan Dad Khan Sayyah' above.

Kaun Sayyaad Idhar Bahr-e-shikar Aata Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kaun Sayyaad Idhar Bahr-e-shikar Aata Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.