Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain, Urdu Ghazal By Mohammad Aftab Ahmad Saqib

Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Aftab Ahmad Saqib. Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بن سنور کر جو وہ بازار نکل جاتے ہیں

محمد آفتاب احمد ثاقب

بن سنور کر جو وہ بازار نکل جاتے ہیں

دیکھنے والوں کے جذبات مچل جاتے ہیں

ہر طرف ہوتا ہے مشتاق نگاہوں کا ہجوم

دل تڑپتے ہوئے سینوں سے نکل جاتے ہیں

برق گرتی ہے جدھر آنکھ اٹھا کر دیکھیں

حدت حسن سے اعصاب پگھل جاتے ہیں

اچھے لگتے ہیں حسیں لوگ ہمارے دل کو

غم کے مارے ہوئے ہم لوگ بہل جاتے ہیں

سیر کو آتے ہیں گلشن میں رقیبوں کی طرح

پھول سارے وہ گلستاں کے مسل جاتے ہیں

پر کشش جتنے ہیں اس شوخ جوانی کے نقوش

سارے نقشے مرے اشعار میں ڈھل جاتے ہیں

جانے کیوں لوگ ترستے ہیں بہاروں کے لیے

ہم تو احساس کی شدت ہی سے جل جاتے ہیں

ایک ہلچل سی مچا دیتی ہے صورت ان کی

چکنی مٹی پہ مرے پاؤں پھسل جاتے ہیں

رات بھر یہ دل وحشی نہیں سوتا ثاقبؔ

سوچ کے رنگ اندھیرے میں بدل جاتے ہیں

محمد آفتاب احمد ثاقب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain

Mohammad Aftab Ahmad Saqib

ban-sanwar kar jo wo bazar nikal jate hain
dekhne walon ke jazbaat machal jate hain

har taraf hota hai mushtaq nigahon ka hujum
dil taDapte hue sinon se nikal jate hain

barq girti hai jidhar aankh uTha kar dekhen
hiddat-e-husn se aasab pighal jate hain

achchhe lagte hain hasin log hamare dil ko
gham ke mare hue hum log bahal jate hain

sair ko aate hain gulshan mein raqibon ki tarah
phul sare wo gulistan ke masal jate hain

pur-kashish jitne hain us shoKH jawani ke nuqush
sare naqshe mere ashaar mein Dhal jate hain

jaane kyun log taraste hain bahaaron ke liye
hum to ehsas ki shiddat hi se jal jate hain

ek halchal si macha deti hai surat un ki
chikni miTTi pe mere panw phisal jate hain

raat bhar ye dil-e-wahshi nahin sota 'saqib'
soch ke rang andhere mein badal jate hain

(578) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain written by Mohammad Aftab Ahmad Saqib at UrduPoint. Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain is one of the masterpieces written by Mohammad Aftab Ahmad Saqib. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Aftab Ahmad Saqib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Aftab Ahmad Saqib' above.

Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.