KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi, Urdu Ghazal By Mohammad Ali Jauhar

KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ali Jauhar. KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خوگر جور پہ تھوڑی سی جفا اور سہی

محمد علی جوہرؔ

خوگر جور پہ تھوڑی سی جفا اور سہی

اس قدر ظلم پہ موقوف ہے کیا اور سہی

خوف غماز عدالت کا خطر دار کا ڈر

ہیں جہاں اتنے وہاں خوف خدا اور سہی

عہد اول کو بھی اچھا ہے جو پورا کر دو

تم وفادار ہو تھوڑی سی وفا اور سہی

جس نے ہنگامہ عدالت کا تری دیکھا ہے

اس گنہ گار کو اک روز جزا اور سہی

کشور کفر میں کعبہ کو بھی شامل کر لو

سیر ظلمات کو تھوڑی سی فضا اور سہی

بندگی میں تری سہتے ہی ہیں لو کی لپٹیں

چند دن کے لیے دوزخ کی ہوا اور سہی

دین و دل جا ہی چکا جان بھی جاتی ہے تو جائے

ترکش کفر میں اک تیر قضا اور سہی

رب عزت کے لیے بھی کوئی رہنے دو خطاب

تم خداوند ہی کہلاؤ خدا اور سہی

حکم حاکم نہ سہی مرگ مفاجات سے کم

مالک الملک پہ ایماں کی سزا اور سہی

ہم وفا کیشوں کا ایماں بھی ہے پروانہ صفت

شمع محفل جو وہ کافر نہ رہا اور سہی

محمد علی جوہرؔ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi

Mohammad Ali Jauhar

KHugar-e-jaur pe thoDi si jafa aur sahi
is qadar zulm pe mauquf hai kya aur sahi

KHauf ghammaz adalat ka KHatar dar ka Dar
hain jahan itne wahan KHauf-e-KHuda aur sahi

ahd-e-awwal ko bhi achchha hai jo pura kar do
tum wafadar ho thoDi si wafa aur sahi

jis ne hangama adalat ka teri dekha hai
us gunahgar ko ek roz-e-jaza aur sahi

kishwar-e-kufr mein kabe ko bhi shamil kar lo
sair-e-zulmat ko thoDi si faza aur sahi

bandagi mein teri sahte hi hain lu ki lapTen
chand din ke liye dozaKH ki hawa aur sahi

din o dil ja hi chuka jaan bhi jati hai to jae
tarkash-e-kufr mein ek tir-e-qaza aur sahi

rabb-e-izzat ke liye bhi koi rahne do KHitab
tum KHudawand hi kahlao KHuda aur sahi

hukm-e-hakim na sahi marg-e-mufajat se kam
malik-ul-mulk pe iman ki saza aur sahi

hum wafa-keshon ka iman bhi hai parwana-sifat
sham-e-mahfil jo wo kafir na raha aur sahi

(647) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi written by Mohammad Ali Jauhar at UrduPoint. KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi is one of the masterpieces written by Mohammad Ali Jauhar. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ali Jauhar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ali Jauhar' above.

KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHugar-e-jaur Pe ThoDi Si Jafa Aur Sahi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.