Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain, Urdu Ghazal By Mohammad Alvi

Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Alvi. Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر چند جاگتے ہیں پہ سوئے ہوئے سے ہیں

محمد علوی

ہر چند جاگتے ہیں پہ سوئے ہوئے سے ہیں

سب اپنے اپنے خوابوں میں کھوئے ہوئے سے ہیں

میں شام کے حصار میں جکڑا ہوا سا ہوں

منظر مرے لہو میں ڈبوئے ہوئے سے ہیں

محسوس ہو رہا ہے یہ پھولوں کو دیکھ کر

جیسے تمام رات کے روئے ہوئے سے ہیں

اک ڈور ہی ہے دن کی مہینوں کی سال کی

اس میں کہیں پہ ہم بھی پروئے ہوئے سے ہیں

علویؔ یہ معجزہ ہے دسمبر کی دھوپ کا

سارے مکان شہر کے دھوئے ہوئے سے ہیں

محمد علوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain

Mohammad Alvi

har-chand jagte hain pa soe hue se hain
sab apne apne KHwabon mein khoe hue se hain

main sham ke hisar mein jakDa hua sa hun
manzar mere lahu mein Duboe hue se hain

mahsus ho raha hai ye phulon ko dekh kar
jaise tamam raat ke roe hue se hain

ek Dor hi hai din ki mahinon ki sal ki
is mein kahin pe hum bhi piroe hue se hain

'alwi' ye moajiza hai december ki dhup ka
sare makan shahr ke dhoe hue se hain

(375) ووٹ وصول ہوئے

You can read Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain written by Mohammad Alvi at UrduPoint. Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain is one of the masterpieces written by Mohammad Alvi. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Alvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Alvi' above.

Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har-chand Jagte Hain Pa Soe Hue Se Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.