Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye, Urdu Ghazal By Mohammad Naqi Rizvi Asr

Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Naqi Rizvi Asr. Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حسن اور عشق کو فرق نظری کیوں کہئے

محمد نقی رضوی عصر

حسن اور عشق کو فرق نظری کیوں کہئے

مے کی تاثیر کو اک بے خبری کیوں کہئے

ہر نفس زیست کا ہو جائے اگر وقف تلاش

جستجو کہئے اسے در بدری کیوں کہئے

کوہ و صحرا ہی نہیں عرش کی لاتا ہوں خبر

میری پرواز کو بے بال و پری کیوں کہئے

کشتیاں ڈوب کے ابھریں جو کسی طوفاں میں

ناخداؤں کی اسے دیدہ وری کیوں کہیے

بجھتے بجھتے بھی اندھیروں کی رہے جو دشمن

ایسی ہستی کو چراغ سحری کیوں کہئے

جب سلجھتی نہ ہو کوشش سے بھی الجھی ہوئی بات

پھر تو حالات کو آفت سے بری کیوں کہئے

ایک کوشش تھی جو ناکام رہی قسمت سے

عصرؔ کچھ کہئے اسے بے ہنری کیوں کہئے

محمد نقی رضوی عصر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye

Mohammad Naqi Rizvi Asr

husn aur ishq ko farq-e-nazari kyun kahiye
mai ki tasir ko ek be-KHabari kyun kahiye

har-nafas zist ka ho jae agar waqf-e-talash
justuju kahiye use dar-badari kyun kahiye

koh-o-sahra hi nahin arsh ki lata hun KHabar
meri parwaz ko be-baal-o-pari kyun kahiye

kashtiyan Dub ke ubhren jo kisi tufan mein
na-KHudaon ki use dida-wari kyun kahiye

bujhte bujhte bhi andheron ki rahe jo dushman
aisi hasti ko charagh-e-sahari kyun kahiye

jab sulajhti na ho koshish se bhi uljhi hui baat
phir to haalat ko aafat se bari kyun kahiye

ek koshish thi jo nakaam rahi qismat se
'asr' kuchh kahiye use be-hunari kyun kahiye

(387) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye written by Mohammad Naqi Rizvi Asr at UrduPoint. Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye is one of the masterpieces written by Mohammad Naqi Rizvi Asr. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Naqi Rizvi Asr by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Naqi Rizvi Asr' above.

Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Husn Aur Ishq Ko Farq-e-nazari Kyun Kahiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.