Yahan Zindagi Ke Sahaare Bahut Hain, Urdu Ghazal By Mohammad Zahid

Yahan Zindagi Ke Sahaare Bahut Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Zahid. Yahan Zindagi Ke Sahaare Bahut Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yahan Zindagi Ke Sahaare Bahut Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہاں زندگی کے سہارے بہت ہیں

محمد زاہد

یہاں زندگی کے سہارے بہت ہیں

جو ہے اک بھنور تو کنارے بہت ہیں

یہ مانا کہ تم ہو سکے نہ کسی کے

مگر اس جہاں میں تمہارے بہت ہیں

تری چاہتوں کے طفیل اے خدایا

جہاں میں ترے غم کے مارے بہت ہیں

کبھی ٹوٹتے ہیں جو رنجوں کے بادل

فلک پر ابھرتے ستارے بہت ہیں

کبھی ایسا لگتا ہے کوئی نہیں ہے

کبھی یوں ہوا کہ ہمارے بہت ہیں

غریبی جہالت تشدد ترقی

سیاست کی دنیا میں نعرے بہت ہیں

ہمارے خیالوں میں شبنم کے موتی

حقیقت میں زاہدؔ شرارے بہت ہیں

محمد زاہد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yahan Zindagi Ke Sahaare Bahut Hain

Mohammad Zahid

yahan zindagi ke sahaare bahut hain
jo hai ek bhanwar to kinare bahut hain

ye mana ki tum ho sake na kisi ke
magar is jahan mein tumhaare bahut hain

teri chahaton ke tufail ai KHudaya
jahan mein tere gham ke mare bahut hain

kabhi TuTte hain jo ranjon ke baadal
falak par ubharte sitare bahut hain

kabhi aisa lagta hai koi nahin hai
kabhi yun hua ki hamare bahut hain

gharibi jahaalat tashaddud taraqqi
siyasat ki duniya mein nare bahut hain

hamare KHayalon mein shabnam ke moti
haqiqat mein 'zahid' sharare bahut hain

(584) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yahan Zindagi Ke Sahaare Bahut Hain written by Mohammad Zahid at UrduPoint. Yahan Zindagi Ke Sahaare Bahut Hain is one of the masterpieces written by Mohammad Zahid. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Zahid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Zahid' above.

Yahan Zindagi Ke Sahaare Bahut Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yahan Zindagi Ke Sahaare Bahut Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.