Garche Aisa Sada Nahin Hota, Urdu Ghazal By Mohammad Zahid

Garche Aisa Sada Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Zahid. Garche Aisa Sada Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Garche Aisa Sada Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گرچہ ایسا سدا نہیں ہوتا

محمد زاہد

گرچہ ایسا سدا نہیں ہوتا

ہاں کبھی کچھ پتہ نہیں ہوتا

لوگ ملنے کو مل ہی جاتے ہیں

ان سے پر سامنا نہیں ہوتا

رسم دنیا نبھا رہے ہیں ہم

خود سے ہی رابطہ نہیں ہوتا

بن پئے بھی کئی بہکتے ہیں

ہم کو پی کر نشہ نہیں ہوتا

ان کو بت ہی سمجھ کے پوجا تھا

پوجنے سے خدا نہیں ہوتا

کہنے سننے سے کیا نہیں ہوتا

آدمی یوں برا نہیں ہوتا

یہ گھڑی اب کہ آن پہنچی ہے

دل میں وہ ولولہ نہیں ہوتا

بے غرض کون ہے یہاں زاہدؔ

مل کے بھی فائدہ نہیں ہوتا

محمد زاہد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Garche Aisa Sada Nahin Hota

Mohammad Zahid

garche aisa sada nahin hota
han kabhi kuchh pata nahin hota

log milne ko mil hi jate hain
un se par samna nahin hota

rasm-e-duniya nibha rahe hain hum
KHud se hi rabta nahin hota

bin piye bhi kai bahakte hain
hum ko pi kar nasha nahin hota

un ko but hi samajh ke puja tha
pujne se KHuda nahin hota

kahne sunne se kya nahin hota
aadmi yun bura nahin hota

ye ghaDi ab ki aan pahunchi hai
dil mein wo walwala nahin hota

be-gharaz kaun hai yahan 'zahid'
mil ke bhi faeda nahin hota

(667) ووٹ وصول ہوئے

You can read Garche Aisa Sada Nahin Hota written by Mohammad Zahid at UrduPoint. Garche Aisa Sada Nahin Hota is one of the masterpieces written by Mohammad Zahid. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Zahid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Zahid' above.

Garche Aisa Sada Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Garche Aisa Sada Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.