Dushman Ki Malamat Bala Hai, Urdu Ghazal By Muneer Shikohabadi

Dushman Ki Malamat Bala Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Shikohabadi. Dushman Ki Malamat Bala Hai comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Dushman Ki Malamat Bala Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دشمن کی ملامت بلا ہے

منیرؔ شکوہ آبادی

دشمن کی ملامت بلا ہے

یہ موم کا سانپ کاٹتا ہے

وسواس حساب حشر کیا ہے

گمناموں کو کون پوچھتا ہے

عالم مشتاق دید کا ہے

وہ بت نہ دکھائے منہ خدا ہے

وہ سیم بدن مگر خفا ہے

سونا جو حرام ہو گیا ہے

سر تا پا ہوں برنگ تصویر

کیا ضعف کا رنگ جم گیا ہے

قشقہ کھنچا ہے ابروؤں میں

دو نیمچے ایک پر تلا ہے

محفوظ افتادگی نے رکھا

تعویذ میں نقش بوریا ہے

گردش سے ملی مجھے سعادت

ہر آبلہ بیضۂ ہما ہے

جھڑتے ہیں پھول منہ سے اے گل

باتوں کا جھاڑ موتیا ہے

منیرؔ شکوہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dushman Ki Malamat Bala Hai

Muneer Shikohabadi

dushman ki malamat bala hai
ye mom ka sanp kaTta hai

waswas-e-hisab-e-hashr kya hai
gumnamon ko kaun puchhta hai

aalam mushtaq did ka hai
wo but na dikhae munh KHuda hai

wo sim-badan magar KHafa hai
sona jo haram ho gaya hai

sar-ta-pa hun ba-rang-e-taswir
kya zoaf ka rang jam gaya hai

qashqa khincha hai abruon mein
do nimche ek par tula hai

mahfuz uftadgi ne rakkha
tawiz mein naqsh-e-boriya hai

gardish se mili mujhe saadat
har aabla baiza-e-huma hai

jhaDte hain phul munh se ai gul
baaton ka jhaD motiya hai

(444) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dushman Ki Malamat Bala Hai written by Muneer Shikohabadi at UrduPoint. Dushman Ki Malamat Bala Hai is one of the masterpieces written by Muneer Shikohabadi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Shikohabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Shikohabadi' above.

Dushman Ki Malamat Bala Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dushman Ki Malamat Bala Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.