Fauj-e-mizhgan Ka Kuchh Irada Hai, Urdu Ghazal By Muneer Shikohabadi

Fauj-e-mizhgan Ka Kuchh Irada Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Shikohabadi. Fauj-e-mizhgan Ka Kuchh Irada Hai comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Fauj-e-mizhgan Ka Kuchh Irada Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فوج مژگاں کا کچھ ارادہ ہے

منیرؔ شکوہ آبادی

فوج مژگاں کا کچھ ارادہ ہے

زلف پیچاں نے لام باندھا ہے

لب رنگیں کو کس نے چوسا ہے

دیکھ لو یہ عقیق جھوٹا ہے

کون آیا چھڑی سواری سے

نے سواری کا کس کی شہرا ہے

دانت کھٹے ہوئے اناروں کے

ان کا سیب ذقن یہ میٹھا ہے

بوسۂ لب دیا جو بگڑے غیر

پھوٹ میں تم نے قند ڈالا ہے

کاٹتے ہو ہمارے نام کے حرف

خوب شوشہ ہے زور فقرا ہے

وصف قد کے دو چند ہیں مضموں

کوئی مصرع نہیں ہے دہرا ہے

دانت کنگھی کا ہے مگر مجھ پر

مار گیسو جو کاٹے کھاتا ہے

خوب ہے وصل عاشق و معشوق

یہ بھی جوڑی کا ایک نسخہ ہے

زخم دل پر نمک چھڑکواؤ

ذائقہ میرے منہ کا پھیکا ہے

غیر کے گھر بجا رہے ہو ستار

تم نے در پردہ ٹھاٹ بدلا ہے

کوئی تازہ کنواں جھکائیں گے

ان دنوں اختلاط گہرا ہے

چٹکی انگیا میں تم نہ ٹکواؤ

گورے سینہ میں نیل پڑتا ہے

بوسہ ہونٹوں کا مل گیا کس کو

دل میں کچھ آج درد میٹھا ہے

چین سے ہیں فقیر بعد فنا

قبر کے بھی سرہانے تکیہ ہے

اے منیرؔ آپ کیوں ہیں آزردہ

یہ تو کہئے مزاج کیسا ہے

منیرؔ شکوہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fauj-e-mizhgan Ka Kuchh Irada Hai

Muneer Shikohabadi

fauj-e-mizhgan ka kuchh irada hai
zulf-e-pechan ne lam bandha hai

lab-e-rangin ko kis ne chusa hai
dekh lo ye aqiq jhuTa hai

kaun aaya chhaDi sawari se
ne sawari ka kis ki shohra hai

dant khaTTe hue anaron ke
un ka seb-e-zaqan ye miTha hai

bosa-e-lab diya jo bigDe ghair
phuT mein tum ne qand Dala hai

kaTte ho hamare nam ke harf
KHub shosha hai zor-e-fiqara hai

wasf-e-qad ke do-chand hain mazmun
koi misra nahin hai dohra hai

dant kanghi ka he magar mujh par
mar-e-gesu jo kaTe khata hai

KHub hai wasl-e-ashiq-o-mashuq
ye bhi joDi ka ek nusKHa hai

zaKHm-e-dil par namak chhiDakwao
zaiqa mere munh ka phika hai

ghair ke ghar baja rahe ho sitar
tum ne dar-parda ThaT badla hai

koi taza kuan jhakaenge
in dinon iKHtilat gahra hai

chuTki angiya mein tum na Takwao
gore sine mein nil paDta hai

bosa honTon ka mil gaya kis ko
dil mein kuchh aaj dard miTha hai

chain se hain faqir baad-e-fana
qabr ke bhi sirhane takiya hai

ai 'munir' aap kyun hain aazurda
ye to kahiye mizaj kaisa hai

(439) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fauj-e-mizhgan Ka Kuchh Irada Hai written by Muneer Shikohabadi at UrduPoint. Fauj-e-mizhgan Ka Kuchh Irada Hai is one of the masterpieces written by Muneer Shikohabadi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Shikohabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Shikohabadi' above.

Fauj-e-mizhgan Ka Kuchh Irada Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fauj-e-mizhgan Ka Kuchh Irada Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.