Aur Mujh Sa Jaan Dene Ka Tamannai Nahin, Urdu Ghazal By Muneer Shikohabadi

Aur Mujh Sa Jaan Dene Ka Tamannai Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Shikohabadi. Aur Mujh Sa Jaan Dene Ka Tamannai Nahin comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Aur Mujh Sa Jaan Dene Ka Tamannai Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اور مجھ سا جان دینے کا تمنائی نہیں

منیرؔ شکوہ آبادی

اور مجھ سا جان دینے کا تمنائی نہیں

اس کا شیدائی ہوں جس کا کوئی شیدائی نہیں

صاف ہیں ہم گو تجھے میل خود آرائی نہیں

دل وہی آئینہ ہے پر تو تماشائی نہیں

قائل وحدت ہوں شرکت کا تمنائی نہیں

تو جو تنہا ہے تو مجھ کو فکر تنہائی نہیں

ناصحو کیوں صبر کرنے کے لئے کرتے ہو تنگ

اس قدر دل تنگ ہے جائے شکیبائی نہیں

ڈھونڈھنے پر میں کمر باندھوں تو پاؤں قصر یار

بے محل ہے لا مکاں کہنا وہ ہرجائی نہیں

سچ ہے حق نا حق نہیں ملتا کسی کو مرتبہ

دار پر منصور کو اوج مسیحائی نہیں

یا کرو اپنا کسی کو یا کسی کے ہو رہو

چار دن کی زندگی میں لطف تنہائی نہیں

زار ہوں طاقت سے مل جانے کو طاقت چاہئے

ناتوانی سے جدائی کی توانائی نہیں

دشت وحشت میں نہیں ملتا ہے سایہ کا پتا

میں ہوں سودائی مرا ہم زاد سودائی نہیں

آتشی شیشہ کی عینک ہو ہماری آنکھ میں

ہم تمہاری گرمیاں دیکھیں یہ بینائی نہیں

مصر کے بازار میں کیا بڑھ گئی یوسف کی قدر

حسن کو بے پردگی میں عیب رسوائی نہیں

بے مے و مے خانہ و ساقی جو آئی مجھ کو موت

حلقۂ ماتم ہے دور چرخ مینائی نہیں

ہو گیا خاموش جو شہر خموشاں کا ہوا

ہے دہان گور موجود اور گویائی نہیں

دونوں نشاؤں سے ہیں باہر مست صہبائے الست

اپنے مے خانہ میں دور چرخ مینائی نہیں

پائیں کیا دیوانۂ مژگاں بت ترسا میں لطف

سوزن‌ عیسیٰ میں نوک خاک صحرائی نہیں

میرے دل کی تجھ کو بے جا ہے شکایت غیر سے

اپنے گھر کا حال کہنا طرز دانائی نہیں

نشہ میں زندہ ہیں ہے عیسیٰ نفس اپنا خمار

جان اعضا میں چلی آتی ہے انگڑائی نہیں

ہو گئے ٹیڑھے اگر ہم نے جگایا نیند سے

آپ در پردہ اکڑتے ہیں یہ انگڑائی نہیں

مے کدہ پر سقف ابر رحمت حق چاہئے

احتیاج سائبان چرخ مینائی نہیں

بے خطر ہیں سستیٔ اندام سے نازک مزاج

جستجوئے‌ بادہ میں شیشوں کی انگڑائی نہیں

سر کو ٹکرا کر مٹایا اپنی قسمت کا لکھا

دیر میں کعبہ میں اب فکر‌ جبیں سائی نہیں

آپ سے یوسف ہزاروں ہم سے عاشق سیکڑوں

حسن کا توڑا نہیں قحط تماشائی نہیں

پیر گردوں سے ذرا انجم اچک کر چھین لیں

ہمتیں عالی ہیں فکر چرخ بالائی نہیں

ہے مرا دشت جنوں سات آسمانوں سے دو چند

ربع مسکوں وادئ وحشت کی چوتھائی نہیں

دختر رز مثل افلاطوں ہے جب تک خم میں ہے

نشہ میں اپنے سے باہر ہوں یہ دانائی نہیں

لکھنؤ کی آرزو میں جان دیتا ہے منیرؔ

سلطنت کا بھی زمانہ میں تمنائی نہیں

منیرؔ شکوہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aur Mujh Sa Jaan Dene Ka Tamannai Nahin

Muneer Shikohabadi

aur mujh sa jaan dene ka tamannai nahin
us ka shaidai hun jis ka koi shaidai nahin

saf hain hum go tujhe mail-e-KHud-arai nahin
dil wahi aaina hai par tu tamashai nahin

qail-e-wahdat hun shirkat ka tamannai nahin
tu jo tanha hai to mujh ko fikr-e-tanhai nahin

naseho kyun sabr karne ke liye karte ho tang
is qadar dil tang hai ja-e-shakebai nahin

DhunDhne par main kamar bandhun to paun qasr-e-yar
be-mahal hai la-makan kahna wo harjai nahin

sach hai haq na-haq nahin milta kisi ko martaba
dar par mansur ko auj-e-masihai nahin

ya karo apna kisi ko ya kisi ke ho raho
chaar din ki zindagi mein lutf-e-tanhai nahin

zar hun taqat se mil jaane ko taqat chahiye
na-tawani se judai ki tawanai nahin

dasht-e-wahshat mein nahin milta hai saye ka pata
main hun saudai mera ham-zad saudai nahin

aatshi shishe ki ainak ho hamari aankh mein
hum tumhaari garmiyan dekhen ye binai nahin

misr ke bazar mein kya baDh gai yusuf ki qadr
husn ko be-pardagi mein aib-e-ruswai nahin

be-mai-o-mai-KHana-o-saqi jo aai mujh ko maut
halqa-e-matam hai daur-e-charKH-e-minai nahin

ho gaya KHamosh jo shahr-e-KHamoshan ka hua
hai dahan-e-gor maujud aur goyai nahin

donon nashaon se hain bahar mast-e-sahba-e-alast
apne mai-KHane mein daur-e-charKH-e-minai nahin

paen kya diwana-e-mizhgan but-e-tarsa mein lutf
sozan-e-isa mein nok-e-KHak-e-shahrai nahin

mere dil ki tujh ko beja hai shikayat ghair se
apne ghar ka haal kahna tarz-e-danai nahin

nashshe mein zinda hain hai isa-nafas apna KHumar
jaan aaza mein chali aati hai angDai nahin

ho gae TeDhe agar hum ne jagaya nind se
aap dar-parda akaDte hain ye angDai nahin

mai-kade par saqf-e-abr-e-rahmat-e-haq chahiye
ehtiyaj-e-saeban-e-charKH-e-minai nahin

be-KHatar hain susti-e-andam se nazuk-mizaj
justuju-e-baada mein shishon ki angDai nahin

sar ko Takra kar miTaya apni qismat ka likha
dair mein kabe mein ab fikr-e-jabin-sai nahin

aap se yusuf hazaron hum se aashiq saikDon
husn ka toDa nahin qaht-e-tamashai nahin

pir-e-gardun se zara anjum uchak kar chhin len
himmaten aali hain fikr-e-charKH-e-baalai nahin

hai mera dasht-e-junun sat aasmanon se do-chand
rub-e-maskun wadi-e-wahshat ki chauthai nahin

duKHtar-e-raz misl-e-aflatun hai jab tak KHum mein hai
nashshe mein apne se bahar hon ye danai nahin

lucknow ki aarzu mein jaan deta hai 'munir'
saltanat ka bhi zamane mein tamannai nahin

(588) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aur Mujh Sa Jaan Dene Ka Tamannai Nahin written by Muneer Shikohabadi at UrduPoint. Aur Mujh Sa Jaan Dene Ka Tamannai Nahin is one of the masterpieces written by Muneer Shikohabadi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Shikohabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Shikohabadi' above.

Aur Mujh Sa Jaan Dene Ka Tamannai Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aur Mujh Sa Jaan Dene Ka Tamannai Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.