Han Han Ghalat Hai Ye Faqat Jo Jalwa-gar Aankhon Mein Hai, Urdu Ghazal By Munfarid Gorakhpuri

Han Han Ghalat Hai Ye Faqat Jo Jalwa-gar Aankhon Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munfarid Gorakhpuri. Han Han Ghalat Hai Ye Faqat Jo Jalwa-gar Aankhon Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Han Han Ghalat Hai Ye Faqat Jo Jalwa-gar Aankhon Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہاں ہاں غلط ہے یہ فقط جو جلوہ گر آنکھوں میں ہے

منفرد گورکھپوری

ہاں ہاں غلط ہے یہ فقط جو جلوہ گر آنکھوں میں ہے

اس دل میں تیری راہ ہے تیرا گزر آنکھوں میں ہے

جلوے کی تیری آرزو حسرت ترے دیدار کی

اب رات دن ہر اک گھڑی آٹھوں پہر آنکھوں میں ہے

اس طرح چھپ کر کیوں ملیں اس طرح چھپ کر کیوں رہیں

اب وہ ہمارے سامنے آئیں اگر آنکھوں میں ہے

روز ازل صورت تری دیکھے ہوئے مدت ہوئی

اب تک وہی جلوہ ترا شام و سحر آنکھوں میں ہے

مدت سے میں یوں ہی بھٹکتا پھر رہا ہوں در بدر

کس کی تلاش آنکھوں کو ہے کیسا سفر آنکھوں میں ہے

مجھ کو ضرورت ہی نہیں پڑتی کسی تصویر کی

جب تک مرا محبوب میرا ہم سفر آنکھوں میں ہے

راہ محبت میں کوئی رہبر نہیں اپنا میاں

بس دیکھنا یہ ہے مجھے کتنا ہنر آنکھوں میں ہے

سن منفردؔ کیوں زار پھرتا ہے تو ناحق کو بہ کو

جس کی ہے تجھ کو جستجو وہ بے خبر آنکھوں میں ہے

منفرد گورکھپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Han Han Ghalat Hai Ye Faqat Jo Jalwa-gar Aankhon Mein Hai

Munfarid Gorakhpuri

han han ghalat hai ye faqat jo jalwa-gar aankhon mein hai
is dil mein teri rah hai tera guzar aankhon mein hai

jalwe ki teri aarzu hasrat tere didar ki
ab raat din har ek ghaDi aaThon pahar aankhon mein hai

is tarah chhup kar kyon milen is tarah chhup kar kyon rahen
ab wo hamare samne aaen agar aankhon mein hai

roz-e-azal surat teri dekhe hue muddat hui
ab tak wahi jalwa tera sham-o-sahar aankhon mein hai

muddat se main yun hi bhaTakta phir raha hun dar-ba-dar
kis ki talash aankhon ko hai kaisa safar aankhon mein hai

mujh ko zarurat hi nahin paDti kisi taswir ki
jab tak mera mahbub mera ham-safar aankhon mein hai

rah-e-mohabbat mein koi rahbar nahin apna miyan
bas dekhna ye hai mujhe kitna hunar aankhon mein hai

sun 'munfarid' kyon zar phirta hai tu nahaq ku-ba-ku
jis ki hai tujh ko justuju wo be-KHabar aankhon mein hai

(385) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Han Han Ghalat Hai Ye Faqat Jo Jalwa-gar Aankhon Mein Hai written by Munfarid Gorakhpuri at UrduPoint. Han Han Ghalat Hai Ye Faqat Jo Jalwa-gar Aankhon Mein Hai is one of the masterpieces written by Munfarid Gorakhpuri. You can also find the complete poetry collection of Munfarid Gorakhpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munfarid Gorakhpuri' above.

Han Han Ghalat Hai Ye Faqat Jo Jalwa-gar Aankhon Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Han Han Ghalat Hai Ye Faqat Jo Jalwa-gar Aankhon Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.