Firaq-e-yar Mein Aisi Bhi Ek Shab Aai, Urdu Ghazal By Naeem Saba

Firaq-e-yar Mein Aisi Bhi Ek Shab Aai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naeem Saba. Firaq-e-yar Mein Aisi Bhi Ek Shab Aai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Firaq-e-yar Mein Aisi Bhi Ek Shab Aai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فراق یار میں ایسی بھی ایک شب آئی

نعیم صبا

فراق یار میں ایسی بھی ایک شب آئی

چراغ جل گیا آنکھوں میں نیند جب آئی

امید و بیم کے عالم میں تھی نگاہ شوق

کسی کی یاد مرے دل میں نیم شب آئی

سحر کے بعد بھی تھا تیرا انتظار مجھے

نگاہ در سے ہر اک بار تشنہ لب آئی

نہ شغل بادہ کشی ہے نہ شوق رامش و رنگ

یہ کس مقام پر اب محفل طرب آئی

خم و سبو بھی ہیں لبریز اب شرابوں سے

یہ دیکھنا ہے کہ رندوں کو نیند کب آئی

میں تیرے شہر میں تجھ سے بھی سر کشیدہ ہوں

تو مجھ سے ملنے سر راہ بے سبب آئی

ستارے ڈوب گئے اور شب تمام ہوئی

چراغ بجھ گیا آنکھوں میں نیند تب آئی

نہ دل میں موج تمنا نہ لب پہ حرف وفا

یہ کس روش پہ صباؔ زندگی ہے اب آئی

نعیم صبا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Firaq-e-yar Mein Aisi Bhi Ek Shab Aai

Naeem Saba

firaq-e-yar mein aisi bhi ek shab aai
charagh jal gaya aankhon mein nind jab aai

umid-o-bim ke aalam mein thi nigah-e-shauq
kisi ki yaad mere dil mein nim-shab aai

sahar ke baad bhi tha tera intizar mujhe
nigah dar se har ek bar tishna-lab aai

na shaghl-e-baada-kashi hai na shauq-e-ramish-o-rang
ye kis maqam par ab mahfil-e-tarab aai

KHum-o-subu bhi hain labrez ab sharabon se
ye dekhna hai ki rindon ko nind kab aai

main tere shahr mein tujh se bhi sar-kashida hun
tu mujh se milne sar-e-rah be-sabab aai

sitare Dub gae aur shab tamam hui
charagh bujh gaya aankhon mein nind tab aai

na dil mein mauj-e-tamanna na lab pe harf-e-wafa
ye kis rawish pe 'saba' zindagi hai ab aai

(457) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Firaq-e-yar Mein Aisi Bhi Ek Shab Aai written by Naeem Saba at UrduPoint. Firaq-e-yar Mein Aisi Bhi Ek Shab Aai is one of the masterpieces written by Naeem Saba. You can also find the complete poetry collection of Naeem Saba by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naeem Saba' above.

Firaq-e-yar Mein Aisi Bhi Ek Shab Aai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Firaq-e-yar Mein Aisi Bhi Ek Shab Aai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.