Registan Mein Jhil, Urdu Nazam By Najma Mahmood

Registan Mein Jhil is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Najma Mahmood. Registan Mein Jhil comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Registan Mein Jhil on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ریگستان میں جھیل

نجمہ محمود

سنا کرتے تھے اب تک

ریگزاروں میں کہیں بھی دور تک

پانی نہیں ملتا

مگر اک بار جب ہم

ریت کے جلتے ہوئے ذروں پہ ننگے پاؤں چل کر

لہو برساتے سورج سے نگاہیں چار کرتے

پاؤں میں چھالے سجائے

پانی کے چند ایک قطرے ڈھونڈتے

قدم آگے بڑھائے جا رہے تھے

لہو کی تیز بڑھتی گردشیں

مدھم سے مدھم تر ہی ہوتی جا رہی تھیں

زندگی معدوم ہوتی جا رہی تھیں

اچانک حیرتوں میں ڈوب کر ہم نے یہ دیکھا

اک بڑی جادو بھری سی جھیل ہے

جس میں کہ تا حد نظر

قوس و قزح کے رنگ بکھرے ہیں

ابھرتی ڈوبتی لہریں

بڑا جادو جگاتی رقص کرتی

ناچتی لہریں

سمندر سبز لہریں نیلگوں لہریں

سفید اور چمپئی لہریں

اور ان کے بھی سوا

بڑی ہی سیاہ گہری سرمگیں لہریں

جھیل کی لہروں کا جادو

روح کو سرشار سا کرتا رہا

زیست کے غم کا مداوا بن گیا

کنارے بیٹھ کر

اس جھیل کے پانی میں ہم نے دیر تک جھانکا

خود اپنے آپ سے ملتے رہے

خود اپنے آپ کو پہچاننے کی کوشش کرتے رہے

نجمہ محمود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Registan Mein Jhil

Najma Mahmood

suna karte the ab tak
regzaron mein kahin bhi dur tak
pani nahin milta
magar ek bar jab hum
ret ke jalte hue zarron pe nange panw chal kar
lahu barsate suraj se nigahen chaar karte
panw mein chhaale sajae
pani ke chand ek qatre DhunDte
qadam aage baDhae ja rahe the
lahu ki tez baDhti gardishen
maddham se maddham-tar hi hoti ja rahi thin
zindagi madum hoti ja rahi thin
achanak hairaton mein Dub kar hum ne ye dekha
ek baDi jadu bhari si jhil hai
jis mein ki ta-hadd-e-nazar
qaus-o-quzah ke rang bikhre hain
ubharti Dubti lahren
baDa jadu jagati raqs karti
nachti lahren
samundar sabz lahren nilgun lahren
safed aur champai lahren
aur un ke bhi siwa
baDi hi siyah gahri surmagin lahren
jhil ki lahron ka jadu
ruh ko sarshaar sa karta raha
zist ke gham ka mudawa ban gaya
kinare baiTh kar
us jhil ke pani mein hum ne der tak jhanka
KHud apne aap se milte rahe
KHud apne aap ko pahchanne ki koshish karte rahe

(396) ووٹ وصول ہوئے

You can read Registan Mein Jhil written by Najma Mahmood at UrduPoint. Registan Mein Jhil is one of the masterpieces written by Najma Mahmood. You can also find the complete poetry collection of Najma Mahmood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Najma Mahmood' above.

Registan Mein Jhil is a widely read Urdu Nazam. If you like Registan Mein Jhil, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.