Diary Mein Likha Main, Urdu Nazam By Nasim Khan

Diary Mein Likha Main is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Nasim Khan. Diary Mein Likha Main comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Diary Mein Likha Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ڈائری میں لکھا میں

نسیم خان

جب پہاڑ

رو رہے تھے

میرا جنم ہوا

میں اپنا خواب

بیری کے پیڑوں میں بو کر

مسکراہٹ کی تلاش میں نکل پڑا

رستے میں مجھے

ایک

ڈایری ملی

جس کے پہلے صفحے پر درج تھا

زندگی خود بخود کوئی فیصلہ نہیں کرتی بلکہ یہ

محض آپ کے فیصلوں کے انجام سے آپ کو ملاتی ہے

ڈایری کے باقی صفحے بالکل

چپ تھے

میں کسی میوزیم میں تمہیں نہیں پا سکا

قبرستان میں مجھے

محض زرد پھولوں کی پتیاں ملیں

کسی اسٹیڈیم میں مجھے نہیں جانا

کسی محفل موسیقی سے مجھے لگاؤ نہیں ہے

پیار کرنے کے لئے

وادیوں کی بجائے

کسی آرٹ گیلری کا رخ کرنا ضروری نہیں ہے

کسی آرٹ گیلری کا رخ کرنا ضروری نہیں ہے

نسیم خان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Diary Mein Likha Main

Nasim Khan

jab pahaD
ro rahe the
mera janm hua
main apna KHwab
beri ke peDon mein bo kar
muskurahaT ki talash mein nikal paDa
raste mein mujhe
ek
diary mili
jis ke pahle safhe par darj tha
zindagi KHud-baKHud koi faisla nahin karti balki ye
mahz aap ke faislon ke anjam se aap ko milati hai
diary ke baqi safhe bilkul
chup the

main kisi museum mein tumhein nahin pa saka
qabristan mein mujhe
mahz zard phulon ki pattiyan milin

kisi stadium mein mujhe nahin jaana
kisi mahfil-e-mausiqi se mujhe lagao nahin hai

pyar karne ke liye
wadiyon ki bajae
kisi art gallery ka ruKH karna zaruri nahin hai
kisi art gallery ka ruKH karna zaruri nahin hai

(316) ووٹ وصول ہوئے

You can read Diary Mein Likha Main written by Nasim Khan at UrduPoint. Diary Mein Likha Main is one of the masterpieces written by Nasim Khan. You can also find the complete poetry collection of Nasim Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nasim Khan' above.

Diary Mein Likha Main is a widely read Urdu Nazam. If you like Diary Mein Likha Main, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.