Un Ka Didar Meri Qismat Mein, Urdu Ghazal By Nishant Shrivastava Nayab

Un Ka Didar Meri Qismat Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nishant Shrivastava Nayab. Un Ka Didar Meri Qismat Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Un Ka Didar Meri Qismat Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ان کا دیدار میری قسمت میں

نشانت شری واستو نایاب

ان کا دیدار میری قسمت میں

عشق تو خوش ہے اتنی اجرت میں

میں نے سب کچھ ہی سوچ رکھا ہے

مجھ کو ڈالو گے کیسے حیرت میں

آئنہ روز مسکراتا ہے

کچھ تو اچھا ہے میری صورت میں

روشنی نے سکھائی چالاکی

کتنا معصوم تھا میں ظلمت میں

جانے وہ کس خیال میں گم تھا

بات کر بیٹھا مجھ سے غفلت میں

میں نہ آیا نظر سوالوں کو

خاک اتنی اڑائی وحشت میں

ہونٹ تک بھی نہ تر ہوئے میرے

بیچ دی پیاس میں نے عجلت میں

نشانت شری واستو نایاب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Un Ka Didar Meri Qismat Mein

Nishant Shrivastava Nayab

un ka didar meri qismat mein
ishq to KHush hai itni ujrat mein

main ne sab kuchh hi soch rakkha hai
mujh ko Daloge kaise hairat mein

aaina roz muskuraata hai
kuchh to achchha hai meri surat mein

raushni ne sikhai chaalaki
kitna masum tha main zulmat mein

jaane wo kis KHayal mein gum tha
baat kar baiTha mujh se ghaflat mein

main na aaya nazar sawalon ko
KHak itni uDai wahshat mein

honT tak bhi na tar hue mere
bech di pyas main ne ujlat mein

(583) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Un Ka Didar Meri Qismat Mein written by Nishant Shrivastava Nayab at UrduPoint. Un Ka Didar Meri Qismat Mein is one of the masterpieces written by Nishant Shrivastava Nayab. You can also find the complete poetry collection of Nishant Shrivastava Nayab by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nishant Shrivastava Nayab' above.

Un Ka Didar Meri Qismat Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Un Ka Didar Meri Qismat Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.