Gham-e-KHamosh Jo Ba-ashk-chakan Rakhta Hun, Urdu Ghazal By Nushur Wahidi

Gham-e-KHamosh Jo Ba-ashk-chakan Rakhta Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nushur Wahidi. Gham-e-KHamosh Jo Ba-ashk-chakan Rakhta Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gham-e-KHamosh Jo Ba-ashk-chakan Rakhta Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غم خاموش جو با اشک چکاں رکھتا ہوں

نشور واحدی

غم خاموش جو با اشک چکاں رکھتا ہوں

ایک ٹھہرے ہوئے دریا کو رواں رکھتا ہوں

اک بدلتی ہوئی دنیا کا سماں رکھتا ہوں

ان کی جانب سے محبت کا گماں رکھتا ہوں

شوق‌ تازہ ہو کہ ہو حسرت بالیدہ کوئی

کچھ نہ کچھ سلسلۂ آہ و فغاں رکھتا ہوں

کچھ جھجکتی ہوئی نظریں ہیں خریدار جمیل

میں بھی پلکوں پہ ستاروں کی دکاں رکھتا ہوں

منتظر ہیں حرم و دیر کے گوشے یعنی

میں نے جو شمع جلائی ہے کہاں رکھتا ہوں

مصلحت ہے کہ ترا تیر نہ خالی جائے

ورنہ مٹھی میں ارادوں کی کماں رکھتا ہوں

غیر کے ہاتھ میں آزادئ روشن کا چراغ

میں فقط مردہ چراغوں کا دھواں رکھتا ہوں

داغ ہوں لالۂ اقوام جہاں کے دل کا

میں بہاروں کے کلیجے پہ خزاں رکھتا ہوں

تیری بخشی ہوئی آزاد جبیں کی سوگند

ایک سجدہ بھی غلامی میں گراں رکھتا ہوں

کوئی منزل ہو مجھے آبلہ پائی سے ہے کام

کچھ زمیں کہتی ہے میں پاؤں جہاں رکھتا ہوں

انقلابات و عزائم کے سنورنے کے لئے

ایک آئینہ پس‌ لفظ و بیاں رکھتا ہوں

میری دنیا میں نہ کعبہ ہے نہ بت خانہ نشورؔ

دل کے گوشے میں مگر دیر مغاں رکھتا ہوں

نشور واحدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gham-e-KHamosh Jo Ba-ashk-chakan Rakhta Hun

Nushur Wahidi

gham-e-KHamosh jo ba-ashk-chakan rakhta hun
ek Thahre hue dariya ko rawan rakhta hun

ek badalti hui duniya ka saman rakhta hun
un ki jaanib se mohabbat ka guman rakhta hun

shauq-e-taza ho ki ho hasrat-e-baalida koi
kuchh na kuchh silsila-e-ah-o-fughan rakhta hun

kuchh jhijakti hui nazren hain KHaridar jamil
main bhi palkon pe sitaron ki dukan rakhta hun

muntazir hain haram-o-dair ke goshe yani
main ne jo shama jalai hai kahan rakhta hun

maslahat hai ki tera tir na KHali jae
warna muTThi mein iradon ki kaman rakhta hun

ghair ke hath mein aazadi-e-raushan ka charagh
main faqat murda charaghon ka dhuan rakhta hun

dagh hun lala-e-aqawam-e-jahan ke dil ka
main bahaaron ke kaleje pe KHizan rakhta hun

teri baKHshi hui aazad jabin ki saugand
ek sajda bhi ghulami mein garan rakhta hun

koi manzil ho mujhe aabla-pai se hai kaam
kuchh zamin kahti hai main panw jahan rakhta hun

inqalabaat-o-azaem ke sanwarne ke liye
ek aaina pas-e-lafz-o-bayan rakhta hun

meri duniya mein na kaba hai na but-KHana 'nushur'
dil ke goshe mein magar dair-e-mughan rakhta hun

(375) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gham-e-KHamosh Jo Ba-ashk-chakan Rakhta Hun written by Nushur Wahidi at UrduPoint. Gham-e-KHamosh Jo Ba-ashk-chakan Rakhta Hun is one of the masterpieces written by Nushur Wahidi. You can also find the complete poetry collection of Nushur Wahidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nushur Wahidi' above.

Gham-e-KHamosh Jo Ba-ashk-chakan Rakhta Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gham-e-KHamosh Jo Ba-ashk-chakan Rakhta Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.