Un Ke Jalwon Ki Tasawwur Mein Farawani Hai Aaj, Urdu Ghazal By Prem Lal Shifa Dehlvi

Un Ke Jalwon Ki Tasawwur Mein Farawani Hai Aaj is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Prem Lal Shifa Dehlvi. Un Ke Jalwon Ki Tasawwur Mein Farawani Hai Aaj comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Un Ke Jalwon Ki Tasawwur Mein Farawani Hai Aaj on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ان کے جلوؤں کی تصور میں فراوانی ہے آج

پریم لال شفا دہلوی

ان کے جلوؤں کی تصور میں فراوانی ہے آج

جس جگہ میں ہوں وہاں ہر چیز نورانی ہے آج

ان کا جلوہ کار فرما ہے کسی کے حسن میں

عشق پھر حلقہ بگوش حسن انسانی ہے آج

اذن مے نوشی ہے پھر ساقی کی چشم مست سے

ہم نے توبہ توڑ کر پینے کی پھر ٹھانی ہے آج

اب تو پینے سے سوا ہیں لغزشوں میں لذتیں

کیوں کہ خود ساقی کی مستوں پر نگہبانی ہے آج

قصۂ ماضی ہے گویا لن ترانی کی صدا

ہر طرف پیش نظر اک نور یزدانی ہے آج

یوں بقدر کسر عصیاں ہے رحمت کا نزول

میں نے توبہ کی تھی توبہ پر پشیمانی ہے آج

آ رہے ہیں سامنے واعظ کے پوشیدہ گناہ

پردۂ رحمت میں میری چاک دامانی ہے آج

کس قدر مفلوج تھے اب تک حوادث سے حواس

بعد مدت ہم نے اپنی شکل پہچانی ہے آج

عاشقؔ و مہتابؔ و مضطرؔ شادؔ آزردہؔ خلیقؔ

کیفؔ و صادقؔ ہیں شفاؔ محو غزل خوانی ہے آج

پریم لال شفا دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Un Ke Jalwon Ki Tasawwur Mein Farawani Hai Aaj

Prem Lal Shifa Dehlvi

un ke jalwon ki tasawwur mein farawani hai aaj
jis jagah main hun wahan har chiz nurani hai aaj

un ka jalwa kar-farma hai kisi ke husn mein
ishq phir halqa-ba-gosh-e-husn-e-insani hai aaj

izn-e-mai-noshi hai phir saqi ki chashm-e-mast se
hum ne tauba toD kar pine ki phir Thani hai aaj

ab to pine se siwa hain laghzishon mein lazzaten
kyon ki KHud saqi ki maston par nigahbani hai aaj

qissa-e-mazi hai goya lan-tarani ki sada
har taraf pesh-e-nazar ek nur-e-yazdani hai aaj

yun ba-qadr-e-kasr-e-isyan hai rahmat ka nuzul
main ne tauba ki thi tauba par pashemani hai aaj

aa rahe hain samne waiz ke poshida gunah
parda-e-rahmat mein meri chaak-damani hai aaj

kis qadar mafluj the ab tak hawadis se hawas
ba'd muddat hum ne apni shakl pahchani hai aaj

'ashiq' o 'mahtab' o ‘muztar' 'shad' 'azurda' 'KHaliq'
'kaif' o 'sadiq' hain 'shifa' mahw-e-ghazal-KHwani hai aaj

(552) ووٹ وصول ہوئے

You can read Un Ke Jalwon Ki Tasawwur Mein Farawani Hai Aaj written by Prem Lal Shifa Dehlvi at UrduPoint. Un Ke Jalwon Ki Tasawwur Mein Farawani Hai Aaj is one of the masterpieces written by Prem Lal Shifa Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Prem Lal Shifa Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Prem Lal Shifa Dehlvi' above.

Un Ke Jalwon Ki Tasawwur Mein Farawani Hai Aaj is a widely read Urdu Ghazal. If you like Un Ke Jalwon Ki Tasawwur Mein Farawani Hai Aaj, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.