Sanson Ki Paighambari, Urdu Nazam By Qazi Saleem

Sanson Ki Paighambari is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Qazi Saleem. Sanson Ki Paighambari comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Sanson Ki Paighambari on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سانسوں کی پیغمبری

قاضی سلیم

بارہا ایسی تنہائیوں میں

کہ جب تیرگی بول اٹھے

ذائقہ موسموں کا زباں پر یکایک بدل جائے

ہم سب یہی سوچتے ہیں

کہ شاید کوئی اور ہیں

مگر کون؟

وقفۂ عمر میں کس نے سمجھا ہے

سب موت ہی کو وصال اپنا کہتے ہیں

سب موت کے منتظر ہیں

میں نے اور صرف میں نے

تیری سانسوں میں

تیری سانسوں میں

اپنا امڈتا برستا ہوا سیل دیکھا ہے

جو روز اول اور آخر مقدر ہے

جو ابتدا انتہا ہے

لوگ جس کے لیے موت کے منتظر ہیں

لوگ بے وجہ کیوں موت کے منتظر ہیں؟

کوئی شے جھیل کی تہہ میں جب ڈوبتی ہے

تو اک بلبلہ جاگتا ہے

کتنا بے چین سیماب پا

راز تہہ کے اگلتا ہے اور ٹوٹتا ہے

اسی دم

سطح کو چومتی سب ہوائیں یہ کہتی ہیں

''کچھ بھی نہیں

کسی تہہ میں گہرائی میں کچھ نہیں

موت بے فیض سا سانحہ ہے''

لوگ بے وجہ کیوں موت کے منتظر ہیں؟

قاضی سلیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sanson Ki Paighambari

Qazi Saleem

bar-ha aisi tanhaiyon mein
ki jab tirgi bol uThe
zaiqa mausamon ka zaban par yakayak badal jae
hum sab yahi sochte hain
ki shayad koi aur hain
magar kaun?
waqfa-e-umr mein kis ne samjha hai
sab maut hi ko visal apna kahte hain
sab maut ke muntazir hain

main ne aur sirf main ne
teri sanson mein
teri sanson mein
apna umaDta barasta hua sail dekha hai
jo roz-e-awwal aur aaKHir muqaddar hai
jo ibtida intiha hai
log jis ke liye maut ke muntazir hain
log be-wajh kyun maut ke muntazir hain?

koi shai jhil ki tah mein jab Dubti hai
to ek bulbula jagta hai
kitna bechain simab-pa
raaz tah ke ugalta hai aur TuTta hai
usi dam
sath ko chumti sab hawaen ye kahti hain
kuchh bhi nahin
kisi tah mein gahrai mein kuchh nahin
maut be-faiz sa saneha hai

log be-wajh kyun maut ke muntazir hain?

(598) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sanson Ki Paighambari written by Qazi Saleem at UrduPoint. Sanson Ki Paighambari is one of the masterpieces written by Qazi Saleem. You can also find the complete poetry collection of Qazi Saleem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qazi Saleem' above.

Sanson Ki Paighambari is a widely read Urdu Nazam. If you like Sanson Ki Paighambari, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.