Dil Wo Shai Hai Ki Jo Dekhe To Khiche Yar Ke Sath, Urdu Ghazal By Qurban Ali Salik Beg

Dil Wo Shai Hai Ki Jo Dekhe To Khiche Yar Ke Sath is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qurban Ali Salik Beg. Dil Wo Shai Hai Ki Jo Dekhe To Khiche Yar Ke Sath comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Wo Shai Hai Ki Jo Dekhe To Khiche Yar Ke Sath on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل وہ شے ہے کہ جو دیکھے تو کھچے یار کے ساتھ

قربان علی سالک بیگ

دل وہ شے ہے کہ جو دیکھے تو کھچے یار کے ساتھ

یہ دکاں وہ ہے کہ چلتی ہے خریدار کے ساتھ

ایک دم بھر کے لیے ہم نہ لگایا تھا گلے

عمر ہی کٹ گئی قاتل تری تلوار کے ساتھ

طعنۂ ظلم و ستم لیلیٰ و شیریں پہ عبث

کیا کیا آپ نے عشق دل افگار کے ساتھ

تیغ چل نکلی دم قتل گلے پر میرے

میں نے تشبیہ جو دی ابروئے خم دار کے ساتھ

حشر اغیار کا شداد کے ہوگا ہم راہ

جھوٹ کہتا ہوں تو بس حشر ہو اغیار کے ساتھ

نہ ڈریں خلد میں جاتے ہوئے جو رضواں سے

اس کے دروازے پہ رک جائیں خبردار کے ساتھ

سو گئے بخت شب وعدہ یہ مجھ سے کہہ کر

کون جاگا ہے ترے دیدۂ بے دار کے ساتھ

اس قدر چرب زبانی نہیں اچھی اے شمع

بزم جاناں میں زباں کٹتی ہے گفتار کے ساتھ

حشر میں ظالم و مظلوم جدا ہوں گے دریغ

ہائے واں بھی نہ رہے اس بت عیار کے ساتھ

ہائے افسوس ہے سالکؔ کی جواں مرگی کا

عشق کی بات گئی اس جگر افگار کے ساتھ

قربان علی سالک بیگ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Wo Shai Hai Ki Jo Dekhe To Khiche Yar Ke Sath

Qurban Ali Salik Beg

dil wo shai hai ki jo dekhe to khiche yar ke sath
ye dukan wo hai ki chalti hai KHaridar ke sath

ek dam-bhar ke liye hum na lagaya tha gale
umr hi kaT gai qatil teri talwar ke sath

tana-e-zulm-o-sitam laila-o-shirin pe abas
kya kiya aap ne ishq-e-dil-e-afgar ke sath

tegh chal nikli dam-e-qatl gale par mere
main ne tashbih jo di abru-e-KHamdar ke sath

hashr aghyar ka shaddad ke hoga hamrah
jhuT kahta hun to bas hashr ho aghyar ke sath

na Daren KHuld mein jate hue jo rizwan se
us ke darwaze pe ruk jaen KHabar-dar ke sath

so gae baKHt shab-e-wada ye mujh se kah kar
kaun jaga hai tere dida-e-bedar ke sath

is qadar charb-zabani nahin achchhi ai shama
bazm-e-jaanan mein zaban kaTti hai guftar ke sath

hashr mein zalim-o-mazlum juda honge daregh
hae wan bhi na rahe us but-e-ayyar ke sath

hae afsos hai 'salik' ki jawan-margi ka
ishq ki baat gai us jigar-afgar ke sath

(408) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Wo Shai Hai Ki Jo Dekhe To Khiche Yar Ke Sath written by Qurban Ali Salik Beg at UrduPoint. Dil Wo Shai Hai Ki Jo Dekhe To Khiche Yar Ke Sath is one of the masterpieces written by Qurban Ali Salik Beg. You can also find the complete poetry collection of Qurban Ali Salik Beg by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qurban Ali Salik Beg' above.

Dil Wo Shai Hai Ki Jo Dekhe To Khiche Yar Ke Sath is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Wo Shai Hai Ki Jo Dekhe To Khiche Yar Ke Sath, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.