GaDhon Wali LaDki, Urdu Nazam By Rafiullah Mian

GaDhon Wali LaDki is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Rafiullah Mian. GaDhon Wali LaDki comes under the Love category of Urdu Nazam. You can read GaDhon Wali LaDki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گڑھوں والی لڑکی

رفیع اللہ میاں

جب وہ بولتی ہے

جب چپ ہو جاتی ہے

اور جب ہنستی ہے

اور روتی ہے جب

اس کے رخساروں میں

ہونٹوں کے کناروں پر

ابروؤں کے پاس

چاہ ذقن کی طرح

ڈمپل پڑتے ہیں

اور مزید ڈمپل پڑتے ہیں

جب وہ قہقہہ لگاتی ہے

اور جب گانے لگتی ہے

خوش ہوتے وقت بھی

جس طرح دکھ میں

آنسو بہاتے ہوئے

جو گال کے گڑھے میں جا گرتے ہیں

غصے میں

چہرے پر بھنور بن جاتے ہیں

پرندے جس پر چکراتے ہیں

اداسی میں قدیم کھنڈر

بلیاں جہاں چیختی ہیں

اور کرب میں بھی

جب یہ اس نرم ماس کو ڈھانپتا ہے

تو ایک بلیک ہول

اس کے پورے وجود کو

نگلنے لگتا ہے

رفیع اللہ میاں

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

GaDhon Wali LaDki

Rafiullah Mian

jab wo bolti hai
jab chup ho jati hai
aur jab hansti hai
aur roti hai jab
us ke ruKHsaron mein
honTon ke kinaron par
abruon ke pas
chah-e-zaqan ki tarah
Dimple paDte hain
aur mazid Dimple paDte hain
jab wo qahqaha lagati hai
aur jab gane lagti hai
KHush hote waqt bhi
jis tarah dukh mein
aansu bahate hue
jo gal ke gaDhe mein ja girte hain
ghusse mein
chehre par bhanwar ban jate hain
parinde jis par chakraate hain
udasi mein qadim khanDar
billiyan jahan chiKHti hain
aur karb mein bhi
jab ye us narm mas ko Dhanpta hai
to ek black hole
us ke pure wajud ko
nigalne lagta hai

(605) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read GaDhon Wali LaDki written by Rafiullah Mian at UrduPoint. GaDhon Wali LaDki is one of the masterpieces written by Rafiullah Mian. You can also find the complete poetry collection of Rafiullah Mian by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rafiullah Mian' above.

GaDhon Wali LaDki is a widely read Urdu Nazam. If you like GaDhon Wali LaDki, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.