Aur TaDpae Mujhe Dard-e-jigar Aaj Ki Raat, Urdu Ghazal By Raja Naushad Ali Khan

Aur TaDpae Mujhe Dard-e-jigar Aaj Ki Raat is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raja Naushad Ali Khan. Aur TaDpae Mujhe Dard-e-jigar Aaj Ki Raat comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aur TaDpae Mujhe Dard-e-jigar Aaj Ki Raat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اور تڑپائے مجھے درد جگر آج کی رات

راجہ نوشاد علی خان

اور تڑپائے مجھے درد جگر آج کی رات

کل وہ آئیں گے نہیں آئے اگر آج کی رات

خود بخود کم ہے مرا درد جگر آج کی رات

کون آئے گا الٰہی مرے گھر آج کی رات

الٹے دیتا ہے نقاب رخ روشن کوئی

شام ہی سے ہوئی جاتی ہے سحر آج کی رات

میں جو بیتاب گیا بزم میں تو وہ بولے

خیر ہے خیر ہے آ نکلے کدھر آج کی رات

در مے خانہ اگر بند ہے مسجد کو چلو

مے کشو پڑ رہو اللہ کے گھر آج کی رات

ہاں ذرا چونک تو اینڈ اینڈ کے سونے والے

لے کسی عاشق مضطر کی خبر آج کی رات

ایک مدت سے جسے ڈھونڈ رہی تھیں آنکھیں

آنے والا ہے وہی رشک قمر آج کی رات

صبح ہوتے ترے بیمار کا دم نکلے گا

ہے یہ مہماں صفت شمع سحر آج کی رات

درد دل تو نے ہمیں مار ہی ڈالا ہوتا

وہ کلیجے سے لگاتے نہ اگر آج کی رات

کوئی سوتا ہے کہیں ساتھ کسی کے شاید

دل کے ہم راہ تڑپتا ہے جگر آج کی رات

تم تو مر جاؤ گے دم بھر میں تڑپ کے نوشادؔ

دور از حال وہ آئے نہ اگر آج کی رات

راجہ نوشاد علی خان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aur TaDpae Mujhe Dard-e-jigar Aaj Ki Raat

Raja Naushad Ali Khan

aur taDpae mujhe dard-e-jigar aaj ki raat
kal wo aaenge nahin aae agar aaj ki raat

KHud-baKHud kam hai mera dard-e-jigar aaj ki raat
kaun aaega ilahi mere ghar aaj ki raat

ulTe deta hai naqab-e-ruKH-e-raushan koi
sham hi se hui jati hai sahar aaj ki raat

main jo betab gaya bazm mein to wo bole
KHair hai KHair hai aa nikle kidhar aaj ki raat

dar-e-mai-KHana agar band hai masjid ko chalo
mai-kasho paD raho allah ke ghar aaj ki raat

han zara chaunk to ainD ainD ke sone wale
le kisi aashiq-e-muztar ki KHabar aaj ki raat

ek muddat se jise DhunD rahi thin aankhen
aane wala hai wahi rashk-e-qamar aaj ki raat

subh hote tere bimar ka dam niklega
hai ye mehman sifat-e-sham-e-sahar aaj ki raat

dard-e-dil tu ne hamein mar hi Dala hota
wo kaleje se lagate na agar aaj ki raat

koi sota hai kahin sath kisi ke shayad
dil ke hamrah taDapta hai jigar aaj ki raat

tum to mar jaoge dam bhar mein taDap ke 'naushad'
dur-az-haal wo aae na agar aaj ki raat

(523) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aur TaDpae Mujhe Dard-e-jigar Aaj Ki Raat written by Raja Naushad Ali Khan at UrduPoint. Aur TaDpae Mujhe Dard-e-jigar Aaj Ki Raat is one of the masterpieces written by Raja Naushad Ali Khan. You can also find the complete poetry collection of Raja Naushad Ali Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raja Naushad Ali Khan' above.

Aur TaDpae Mujhe Dard-e-jigar Aaj Ki Raat is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aur TaDpae Mujhe Dard-e-jigar Aaj Ki Raat, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.