Hai Be-KHud Wasl Mein Dil Hijr Mein Muztar Siwa Hoga, Urdu Ghazal By Rasheed Lakhnavi

Hai Be-KHud Wasl Mein Dil Hijr Mein Muztar Siwa Hoga is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rasheed Lakhnavi. Hai Be-KHud Wasl Mein Dil Hijr Mein Muztar Siwa Hoga comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Be-KHud Wasl Mein Dil Hijr Mein Muztar Siwa Hoga on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے بے خود وصل میں دل ہجر میں مضطر سوا ہوگا

رشید لکھنوی

ہے بے خود وصل میں دل ہجر میں مضطر سوا ہوگا

خوشی جس گھر کی ایسی ہے وہاں کا رنج کیا ہوگا

ابھی تو یار سے کہنے کی دل میں باتیں ہیں لاکھوں

نہ کچھ یاد آئے گا اس وقت جس دم سامنا ہوگا

مرے مدفن کی مٹی کا وہ کھچوائیں گے عطر اکثر

اگر بوئے وفا کا ان کے دل میں کچھ مزا ہوگا

وہ گیسو بڑھتے جاتے ہیں بلائیں ہوتی ہیں نازل

قدم تک آ گئے جب حشر عالم میں بپا ہوگا

غضب کرتے ہو میرے دل کو ابرو سے چھڑاتے ہو

بھلا سمجھو تو کیوں کر گوشت ناخن سے جدا ہوگا

عدم میں میرا کیا کیا دم رکے گا ایک مدت تک

نئی بستی نئی پوشاک ہوگی گھر نیا ہوگا

اتارا خون کے دریا سے ہوگا سرفروشوں کا

بنے گی تیغ کشتی اور قاتل ناخدا ہوگا

بیاں تھا روز اول یہ مرے دل کی اداسی کا

بڑی اس گھر کی آبادی یہ ہے ماتم سرا ہوگا

خبر لے باغباں ہے کس غضب کا حبس گلشن میں

ہوا ہے بند اسیران قفس کا دم رکا ہوگا

مرے سینے سے دل کے ٹوٹنے کی کیوں صدا آئی

مگر یاں ہاتھ سے ساقی کے شیشہ گر پڑا ہوگا

ستم گر آئے گا اکثر خبر لینے کو زنداں میں

ہمیں وہ بیڑیاں پہنا کے پابند وفا ہوگا

رقیبوں کی امیدوں کو جگہ دیتے ہیں دل میں ہم

کہ ان میں سے کوئی آخر ہمارا مدعا ہوگا

نہیں ہے جس میں تیرا عشق وہ دل ہے تباہی میں

وہ کشتی ڈوب جائے گی نہ جس میں ناخدا ہوگا

رشیدؔ الفت سے جب واقف نہ تھے اکثر یہ کہتے تھے

نہ دل سے ہم جدا ہوں گے نہ ہم سے دل جدا ہوگا

رشید لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Be-KHud Wasl Mein Dil Hijr Mein Muztar Siwa Hoga

Rasheed Lakhnavi

hai be-KHud wasl mein dil hijr mein muztar siwa hoga
KHushi jis ghar ki aisi hai wahan ka ranj kya hoga

abhi to yar se kahne ki dil mein baaten hain lakhon
na kuchh yaad aaega us waqt jis dam samna hoga

mere madfan ki miTTi ka wo khichwaenge itr aksar
agar bu-e-wafa ka un ke dil mein kuchh maza hoga

wo gesu baDhte jate hain balaen hoti hain nazil
qadam tak aa gae jab hashr aalam mein bapa hoga

ghazab karte ho mere dil ko abru se chhuDate ho
bhala samjho to kyunkar gosht naKHun se juda hoga

adam mein mera kya kya dam rukega ek muddat tak
nai basti nai poshak hogi ghar naya hoga

utara KHun ke dariya se hoga sarfaroshon ka
banegi tegh kashti aur qatil naKHuda hoga

bayan tha roz-e-awwal ye mere dil ki udasi ka
baDi us ghar ki aabaadi ye hai matam-sara hoga

KHabar le baghban hai kis ghazab ka habs gulshan mein
hawa hai band asiran-e-qafas ka dam ruka hoga

mere sine se dil ke TuTne ki kyun sada aai
magar yan hath se saqi ke shisha gir paDa hoga

sitamgar aaega aksar KHabar lene ko zindan mein
hamein wo beDiyan pahna ke paband-e-wafa hoga

raqibon ki umidon ko jagah dete hain dil mein hum
ki un mein se koi aaKHir hamara muddaa hoga

nahin hai jis mein tera ishq wo dil hai tabahi mein
wo kashti Dub jaegi na jis mein naKHuda hoga

'rashid' ulfat se jab waqif na the aksar ye kahte the
na dil se hum juda honge na hum se dil juda hoga

(263) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Be-KHud Wasl Mein Dil Hijr Mein Muztar Siwa Hoga written by Rasheed Lakhnavi at UrduPoint. Hai Be-KHud Wasl Mein Dil Hijr Mein Muztar Siwa Hoga is one of the masterpieces written by Rasheed Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Rasheed Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rasheed Lakhnavi' above.

Hai Be-KHud Wasl Mein Dil Hijr Mein Muztar Siwa Hoga is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Be-KHud Wasl Mein Dil Hijr Mein Muztar Siwa Hoga, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.