Shajar Pe BaiThe Hue Hain Panchhi Tanaw Mein Sab, Urdu Ghazal By Raziq Ansari

Shajar Pe BaiThe Hue Hain Panchhi Tanaw Mein Sab is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raziq Ansari. Shajar Pe BaiThe Hue Hain Panchhi Tanaw Mein Sab comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shajar Pe BaiThe Hue Hain Panchhi Tanaw Mein Sab on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شجر پہ بیٹھے ہوئے ہیں پنچھی تناؤ میں سب

رازق انصاری

شجر پہ بیٹھے ہوئے ہیں پنچھی تناؤ میں سب

ابھی شکاری ہیں اپنے اپنے پڑاؤ میں سب

محبتیں ہو رہی ہیں زخمی کسے خبر ہے

ابھی ہیں مصروف اپنے رشتے چناؤ میں سب

نہیں تم ایسے نہیں ہو جیسا یہ پڑھ رہے ہیں

ہمیں پتا ہے قصیدہ خواں ہیں دباؤ میں سب

بنا کے دن بھر مری عیادت کو اک بہانہ

نمک لگانے کو آتے رہتے ہیں گھاؤ میں سب

تمہارے اندر کے آدمی سے نہیں ہیں واقف

یہ لوگ بیٹھے ہوئے ہیں کاغذ کی ناؤ میں سب

رازق انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shajar Pe BaiThe Hue Hain Panchhi Tanaw Mein Sab

Raziq Ansari

shajar pe baiThe hue hain panchhi tanaw mein sab
abhi shikari hain apne apne paDaw mein sab

mohabbaten ho rahi hain zaKHmi kise KHabar hai
abhi hain masruf apne rishte chunaw mein sab

nahin tum aise nahin ho jaisa ye paDh rahe hain
hamein pata hai qasida-KHwan hain dabaw mein sab

bana ke din bhar meri ayaadat ko ek bahana
namak lagane ko aate rahte hain ghaw mein sab

tumhaare andar ke aadmi se nahin hain waqif
ye log baiThe hue hain kaghaz ki naw mein sab

(590) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shajar Pe BaiThe Hue Hain Panchhi Tanaw Mein Sab written by Raziq Ansari at UrduPoint. Shajar Pe BaiThe Hue Hain Panchhi Tanaw Mein Sab is one of the masterpieces written by Raziq Ansari. You can also find the complete poetry collection of Raziq Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raziq Ansari' above.

Shajar Pe BaiThe Hue Hain Panchhi Tanaw Mein Sab is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shajar Pe BaiThe Hue Hain Panchhi Tanaw Mein Sab, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.