Zamane Mein Wo Mah-laqa Ek Hai, Urdu Ghazal By Rind Lakhnavi

Zamane Mein Wo Mah-laqa Ek Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rind Lakhnavi. Zamane Mein Wo Mah-laqa Ek Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zamane Mein Wo Mah-laqa Ek Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زمانے میں وہ مہ لقا ایک ہے

رند لکھنوی

زمانے میں وہ مہ لقا ایک ہے

ہزاروں میں وہ دل ربا ایک ہے

خداوند ارض و سما ایک ہے

قسم ہے خدا کی خدا ایک ہے

برابر ہے اپنا وجود و عدم

ہماری بقا اور فنا ایک ہے

عدم ابتدا ہے عدم انتہا

مری ابتدا انتہا ایک ہے

نہ ہوں گے یہ حادث رہے گا قدیم

غرض سب ہیں فانی بقا ایک ہے

ذرا غور سے مرأت دل کو دیکھ

یہ آئینۂ حق نما ایک ہے

جنہیں کفر و الحاد کہتا ہے شیخ

فقط پھیر ہے راستا ایک ہے

جہاں میں ہیں غافل بہت سے طریق

مگر راہ صدق و صفا ایک ہے

مآل سخن ذکر ہے یار کا

کہوں سو طرح مدعا ایک ہے

محل فقر کا ہے عجائب مقام

یہاں مسند و بوریا ایک ہے

کہاں اس کے آگے کسی کا فروغ

وہ خورشید رو مہ لقا ایک ہے

فضیلت ملی ایک کو ایک پر

غرض ایک سے یاں سوا ایک ہے

بچے گا نہ کاوش سے مژگاں کے دل

کہ نشتر بہت آبلہ ایک ہے

جفاکار دم باز کاذب محیل

میں واقف ہوں وہ بے وفا ایک ہے

ہے انبوہ عشاق عیسیٰ کے گھر

مریض اتنے دار الشفا ایک ہے

نہیں بچتا دونوں کا مارا ہوا

تری زلف اور اژدہا ایک ہے

نہ آنا تو اس زلف کے پیچ میں

ارے دل وہ کالی بلا ایک ہے

ہزاروں شہید محبت ہیں دفن

گلی اس کی اور کربلا ایک ہے

ہر اک درد کا ہے مداوا وہ لب

مرض سیکڑوں ہیں دوا ایک ہے

دوئی کو نہ دے دل میں غافل جگہ

زباں ایک ہے اور خدا ایک ہے

کہو گے جو کچھ تو سنو گے بھی رندؔ

ہنسی میں تو شاہ و گدا ایک ہے

رند لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zamane Mein Wo Mah-laqa Ek Hai

Rind Lakhnavi

zamane mein wo mah-laqa ek hai
hazaron mein wo dilruba ek hai

KHudawand-e-arz-o-sama ek hai
qasam hai KHuda ki KHuda ek hai

barabar hai apna wajud o adam
hamari baqa aur fana ek hai

adam ibtida hai adam intiha
meri ibtida intiha ek hai

na honge ye hadis rahega qadim
gharaz sab hain fani baqa ek hai

zara ghaur se miraat-e-dil ko dekh
ye aaina-e-haq-numa ek hai

jinhen kufr o ilhad kahta hai shaiKH
faqat pher hai rasta ek hai

jahan mein hain ghafil bahut se tariq
magar rah-e-sidq-o-safa ek hai

maal-e-suKHan zikr hai yar ka
kahun sau tarah muddaa ek hai

mahal faqr ka hai ajaib maqam
yahan masnad o boriya ek hai

kahan us ke aage kisi ka farogh
wo KHurshid-ru mah-laqa ek hai

fazilat mili ek ko ek par
gharaz ek se yan siwa ek hai

bachega na kawish se mizhgan ke dil
ki nashtar bahut aabla ek hai

jafakar dam-baz kazib muhil
main waqif hun wo bewafa ek hai

hai amboh-e-ushshaq isa ke ghar
mariz itne darushshifa ek hai

nahin bachta donon ka mara hua
teri zulf aur azhdaha ek hai

na aana tu us zulf ke pech mein
are dil wo kali bala ek hai

hazaron shahid-e-mohabbat hain dafn
gali us ki aur karbala ek hai

har ek dard ka hai mudawa wo lab
maraz saikDon hain dawa ek hai

dui ko na de dil mein ghafil jagah
zaban ek hai aur KHuda ek hai

kahoge jo kuchh to sunoge bhi 'rind'
hansi mein to shah o gada ek hai

(397) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zamane Mein Wo Mah-laqa Ek Hai written by Rind Lakhnavi at UrduPoint. Zamane Mein Wo Mah-laqa Ek Hai is one of the masterpieces written by Rind Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Rind Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rind Lakhnavi' above.

Zamane Mein Wo Mah-laqa Ek Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zamane Mein Wo Mah-laqa Ek Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.