Na Tare Afshan Na Kahkashan Hai Namuna Hansti Hui Jabin Ka, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Na Tare Afshan Na Kahkashan Hai Namuna Hansti Hui Jabin Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Na Tare Afshan Na Kahkashan Hai Namuna Hansti Hui Jabin Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Tare Afshan Na Kahkashan Hai Namuna Hansti Hui Jabin Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ تارے افشاں نہ کہکشاں ہے نمونہ ہنستی ہوئی جبیں کا

ریاضؔ خیرآبادی

نہ تارے افشاں نہ کہکشاں ہے نمونہ ہنستی ہوئی جبیں کا

کھلا ہے پرچم گڑا ہے جھنڈا فلک پر اس آہ آتشیں کا

رہے ہیں گھل مل کے کیسے دونوں یہ ایک ہیں دل کے کیسے دونوں

چھٹا جو ہم سے کسی کا دامن تو ساتھ ہے اشک و آستیں کا

جو ایک ہو تو ہم اس کو روئیں ہوئے ہیں دشمن بدن کے روئیں

ہمیں تو ہر تار آستیں پر گمان ہے مار آستیں کا

جو رنگ ان کا بدل چلا ہے تو شوق اب ہے نہ ولولہ ہے

بہت ہی نازک معاملہ ہے وصال معشوق نازنیں کا

چڑھی ہے کچے گھڑے کی ایسی بندھی ہے یہ دھن ہمیں بھی ساقی

چکھائیں واعظ کو آج ہم بھی ذرا مزا شہد و انگبیں کا

تمہارے انکار نے چبھوئے ہمارے دل میں ہزاروں نشتر

تم ایسے نازک کہ نقش بن کر رہا لبوں پر نشاں نہیں کا

جو چھینٹیں اڑ کر پڑیں خدایا وہ اور محشر کریں گی برپا

ہے میری گردن پر اور الٹا یہ خون قاتل کی آستیں کا

کلی نہ دامن کی مسکرائے نہ آستیں تیری گل کھلائے

میں صدقے قاتل نہ رنگ لائے یہ خون دامن کا آستیں کا

ریاضؔ معشوق ماہ پیکر کوئی نہ کوئی ہے جلوہ گستر

کہ شام آئی ہے جو مرے گھر وہ چاند لائی ہے چودھویں کا

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Tare Afshan Na Kahkashan Hai Namuna Hansti Hui Jabin Ka

Riyaz Khairabadi

na tare afshan na kahkashan hai namuna hansti hui jabin ka
khula hai parcham gaDa hai jhanDa falak par us aah-e-atishin ka

rahe hain ghul-mil ke kaise donon ye ek hain dil ke kaise donon
chhuTa jo hum se kisi ka daman to sath hai ashk-o-atshin ka

jo ek ho to hum us ko roen hue hain dushman badan ke roen
hamein to har tar-e-astin par guman hai mar-e-astin ka

jo rang un ka badal chala hai to shauq ab hai na walwala hai
bahut hi nazuk muamla hai visal-e-mashuq-e-naznin ka

chaDhi hai kachche ghaDe ki aisi bandhi hai ye dhun hamein bhi saqi
chakhaen waiz ko aaj hum bhi zara maza shahad-o-angbin ka

tumhaare inkar ne chubhoe hamare dil mein hazaron nashtar
tum aise nazuk ki naqsh ban kar raha labon par nishan nahin ka

jo chhinTen uD kar paDin KHudaya wo aur mahshar karengi barpa
hai meri gardan par aur ulTa ye KHun qatil ki aastin ka

kali na daman ki muskurae na aastin teri gul khilae
main sadqe qatil na rang lae ye KHun daman ka aastin ka

'riyaz' mashuq-e-mah-paikar koi na koi hai jalwa-gustar
ki sham aai hai jo mere ghar wo chand lai hai chaudhwin ka

(441) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Tare Afshan Na Kahkashan Hai Namuna Hansti Hui Jabin Ka written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Na Tare Afshan Na Kahkashan Hai Namuna Hansti Hui Jabin Ka is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Na Tare Afshan Na Kahkashan Hai Namuna Hansti Hui Jabin Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Tare Afshan Na Kahkashan Hai Namuna Hansti Hui Jabin Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.