Ye Kahan Se Hum Gae Hain Kahan Kahen Kya Teri Tag-o-taz Mein, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Ye Kahan Se Hum Gae Hain Kahan Kahen Kya Teri Tag-o-taz Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Ye Kahan Se Hum Gae Hain Kahan Kahen Kya Teri Tag-o-taz Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Kahan Se Hum Gae Hain Kahan Kahen Kya Teri Tag-o-taz Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کہاں سے ہم گئے ہیں کہاں کہیں کیا تری تگ و تاز میں

ریاضؔ خیرآبادی

یہ کہاں سے ہم گئے ہیں کہاں کہیں کیا تری تگ و تاز میں

کہ یہ آسمان و زمیں جہاں نہ نشیب میں نہ فراز میں

تو درون خانہ برون در تو ہزار پردوں میں جلوہ گر

ارے او حقیقت پردہ ور تری شوخیاں میں مجاز میں

وہی آئے عرش سے فرش تک وہی چھائے فرش سے عرش تک

ملے ایسے ذرے ہزارہا ہمیں خاک راہ مجاز میں

کہیں تیز ہے کہیں نرم ہے یہی آنچ مطرب خوشنوا

مرے نالے میں ترے نغمے میں مرے سوز میں ترے ساز میں

ترے سجدے میں وہ مزا ملا کہ تڑپ کے سینے سے آ رہا

کوئی داغ ہے کہ ہے دل مرا یہ مری جبین نیاز میں

یہ اڑائیں گے کبھی رنگ بھی یہ دکھائیں گے کبھی رنگ بھی

یہی لائیں گے کبھی رنگ بھی جو رنگیں ہیں رنگ مجاز میں

گھڑی جس کی حشر کا ایک دن شب گور جس کا ہر ایک پل

وہ مزے ہیں حسرت مرگ میں جو خضر کی عمر دراز میں

اسے لاگ عشق کی کہتے ہیں اسے آگ عشق کی کہتے ہیں

نہ جنون ہے یہ جنون میں نہ کوئی یہ راز ہے راز میں

جنہیں لوگ کہتے ہیں دزد مے وہ خدا پرست ریاضؔ ہیں

یہ سنا ہے کل کہ جناب ہی پس خم تھے محو نماز میں

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kahan Se Hum Gae Hain Kahan Kahen Kya Teri Tag-o-taz Mein

Riyaz Khairabadi

ye kahan se hum gae hain kahan kahen kya teri tag-o-taz mein
ki ye aasman-o-zamin jahan na nasheb mein na faraaz mein

tu darun-e-KHana barun-e-dar tu hazar pardon mein jalwa-gar
are o haqiqat-e-parda-war teri shoKHiyan mein majaz mein

wahi aae arsh se farsh tak wahi chhae farsh se arsh tak
mile aise zarre hazar-ha hamein KHak-e-rah-e-majaz mein

kahin tez hai kahin narm hai yahi aanch mutrib-e-KHush-nawa
mere nale mein tere naghme mein mere soz mein tere saz mein

tere sajde mein wo maza mila ki taDap ke sine se aa raha
koi dagh hai ki hai dil mera ye meri jabin-e-niyaz mein

ye uDaenge kabhi rang bhi ye dikhaenge kabhi rang bhi
yahi laenge kabhi rang bhi jo rangen hain rang-e-majaz mein

ghaDi jis ki hashr ka ek din shab-gor jis ka har ek pal
wo maze hain hasrat-e-marg mein jo KHizr ki umr-e-daraaz mein

use lag ishq ki kahte hain use aag ishq ki kahte hain
na junun hai ye junun mein na koi ye raaz hai raaz mein

jinhen log kahte hain duzd-e-mai wo KHuda-parast 'riyaz' hain
ye suna hai kal ki janab hi pas-e-KHum the mahw namaz mein

(374) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ye Kahan Se Hum Gae Hain Kahan Kahen Kya Teri Tag-o-taz Mein written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Ye Kahan Se Hum Gae Hain Kahan Kahen Kya Teri Tag-o-taz Mein is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Ye Kahan Se Hum Gae Hain Kahan Kahen Kya Teri Tag-o-taz Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Kahan Se Hum Gae Hain Kahan Kahen Kya Teri Tag-o-taz Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.