Hawa-e-zindagi Bhi Kucha-e-qatil Se Aati Hai, Urdu Ghazal By Rohit Soni Tabish

Hawa-e-zindagi Bhi Kucha-e-qatil Se Aati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rohit Soni Tabish. Hawa-e-zindagi Bhi Kucha-e-qatil Se Aati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hawa-e-zindagi Bhi Kucha-e-qatil Se Aati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوائے زندگی بھی کوچۂ قاتل سے آتی ہے

روہت سونی تابش

ہوائے زندگی بھی کوچۂ قاتل سے آتی ہے

سمجھ اس بات کی لیکن ذرا مشکل سے آتی ہے

یوں ہی ہوتی نہیں ہے وسعت فکر و نظر پیدا

بصارت میں بصیرت در حقیقت دل سے آتی ہے

کمال عشق کا یوں بھی کبھی انداز ہوتا ہے

سوئے پروانہ شمع چل کے خود محفل سے آتی ہے

خیالوں میں غم سود و زیاں کچھ بھی نہیں رہتا

محبت کی یہ خوبی سعئ لا حاصل سے آتی ہے

وہ عالم کون سا عالم ہے جو پنہاں نہیں مجھ میں

جو گوش فکر وا ہو یہ صدا بھی دل سے آتی ہے

کوئی طوفان بس آنے ہی والا ہے سمندر میں

کہ بو اس بات کی خاموشیٔ ساحل سے آتی ہے

نگاہیں قیس کی یوں ہی نہیں ہیں محو نظارہ

ضیا لیلیٰ کی ہے جو پردۂ محمل سے آتی ہے

نہیں آتی ہے جب یہ تو کسی پر بھی نہیں آتی

مگر آتی ہے جب اپنی طبیعت دل سے آتی ہے

نہیں رہتا تفاوت جب وصال و ہجر میں کچھ بھی

یہ منزل انتظار شوق میں مشکل سے آتی ہے

لہو کی چھینٹ تک قاتل کے دامن پر نہیں کوئی

تڑپنے کی ادا ایسی بڑی مشکل سے آتی ہے

روہت سونی تابش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hawa-e-zindagi Bhi Kucha-e-qatil Se Aati Hai

Rohit Soni Tabish

hawa-e-zindagi bhi kucha-e-qatil se aati hai
samajh is baat ki lekin zara mushkil se aati hai

yunhi hoti nahin hai wusat-e-fikr-o-nazar paida
basarat mein basirat dar-haqiqat dil se aati hai

kamal-e-ishq ka yun bhi kabhi andaz hota hai
su-e-parwana shama chal ke KHud mahfil se aati hai

KHayalon mein gham-e-sud-o-ziyan kuchh bhi nahin rahta
mohabbat ki ye KHubi sai-e-la-hasil se aati hai

wo aalam kaun sa aalam hai jo pinhan nahin mujh mein
jo gosh-e-fikr wa ho ye sada bhi dil se aati hai

koi tufan bas aane hi wala hai samundar mein
ki bu is baat ki KHamoshi-e-sahil se aati hai

nigahen qais ki yun hi nahin hain mahw-e-nazzara
ziya laila ki hai jo parda-e-mahmil se aati hai

nahin aati hai jab ye to kisi par bhi nahin aati
magar aati hai jab apni tabiat dil se aati hai

nahin rahta tafawut jab visal-o-hijr mein kuchh bhi
ye manzil intizar-e-shauq mein mushkil se aati hai

lahu ki chhinT tak qatil ke daman par nahin koi
taDapne ki ada aisi baDi mushkil se aati hai

(408) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hawa-e-zindagi Bhi Kucha-e-qatil Se Aati Hai written by Rohit Soni Tabish at UrduPoint. Hawa-e-zindagi Bhi Kucha-e-qatil Se Aati Hai is one of the masterpieces written by Rohit Soni Tabish. You can also find the complete poetry collection of Rohit Soni Tabish by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rohit Soni Tabish' above.

Hawa-e-zindagi Bhi Kucha-e-qatil Se Aati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hawa-e-zindagi Bhi Kucha-e-qatil Se Aati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.