Maza Alam Mein Nahin Lutf Soz-e-jaan Mein Nahin, Urdu Ghazal By S Nooruddin Anwar Bhopali

Maza Alam Mein Nahin Lutf Soz-e-jaan Mein Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, S Nooruddin Anwar Bhopali. Maza Alam Mein Nahin Lutf Soz-e-jaan Mein Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Maza Alam Mein Nahin Lutf Soz-e-jaan Mein Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مزہ الم میں نہیں لطف سوز جاں میں نہیں

ایس ۔ نورالدین انور بھوپالی

مزہ الم میں نہیں لطف سوز جاں میں نہیں

سبب یہ ہے کہ تپش پردۂ فغاں میں نہیں

شبہ اگر تمہیں آدم کی داستاں میں نہیں

تو پھر گناہ کوئی سجدۂ بتاں میں نہیں

سب اٹھ چکے ہیں محبت میں جس قدر تھے حجاب

میں اب وہاں ہوں جہاں کوئی درمیاں میں نہیں

خزاں کے رنگ میں ڈوبی ہوئی بہار ہیں ہم

ہمارا نام مگر دفتر خزاں میں نہیں

چمن کو ہم نے بنایا چمن مگر اے دوست

ہماری یاد بھی اب ذہن باغباں میں نہیں

ہمیں نے خون تمنا سے اس میں رنگ بھرا

ہمارا نام کہیں ساری داستاں میں نہیں

ترے کرم کی غلط بخشیاں ارے توبہ

مرے نصیب کے تنکے بھی آشیاں میں نہیں

پڑے ہوئے ہیں چمن میں بے رنگ بیگانہ

وہ میہمان ہیں جو ذہن میزباں میں نہیں

ترے فراق میں جو اشک خوں بہاتی تھی

لہو کی بوند بھی اس چشم خوں فشاں میں نہیں

گلوں کو بھی تو ہمیں گل بنانے والے ہیں

مگر ہنوز یہ احساس باغباں میں نہیں

ہنوز دل میں تڑپتی ہے آرزوئے سجود

مگر کشش ہی کسی سنگ آستاں میں نہیں

ترے نثار مرا حال پوچھنے والے

ترے کرم سے کوئی فرق درد جاں میں نہیں

کچھ ان کے سامنے یوں ہونٹ سل گئے انورؔ

کہ تاب نطق ہی گویا مری زباں میں نہیں

ایس ۔ نورالدین انور بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maza Alam Mein Nahin Lutf Soz-e-jaan Mein Nahin

S Nooruddin Anwar Bhopali

maza alam mein nahin lutf soz-e-jaan mein nahin
sabab ye hai ki tapish parda-e-fughan mein nahin

shubah agar tumhein aadam ki dastan mein nahin
to phir gunah koi sajda-e-butan mein nahin

sab uTh chuke hain mohabbat mein jis qadar the hijab
main ab wahan hun jahan koi darmiyan mein nahin

KHizan ke rang mein Dubi hui bahaar hain hum
hamara nam magar daftar-e-KHizan mein nahin

chaman ko hum ne banaya chaman magar ai dost
hamari yaad bhi ab zehn-e-baghban mein nahin

hamin ne KHun-e-tamanna se is mein rang bhara
hamara nam kahin sari dastan mein nahin

tere karam ki ghalat-baKHshiyan are tauba
mere nasib ke tinke bhi aashiyan mein nahin

paDe hue hain chaman mein be-rang-e-begana
wo mehman hain jo zehn-e-mezban mein nahin

tere firaq mein jo ashk-e-KHun bahati thi
lahu ki bund bhi us chashm-e-KHun-fishan mein nahin

gulon ko bhi to hamin gul banane wale hain
magar hanuz ye ehsas baghban mein nahin

hanuz dil mein taDapti hai aarzu-e-sujud
magar kashish hi kisi sang-e-astan mein nahin

tere nisar mera haal puchhne wale
tere karam se koi farq dard-e-jaan mein nahin

kuchh un ke samne yun honT sil gae 'anwar'
ki tab-e-nutq hi goya meri zaban mein nahin

(500) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More S Nooruddin Anwar Bhopali Poetry

مزہ الم میں نہیں لطف سوز جاں میں نہیں

S Nooruddin Anwar Bhopali - ایس ۔ نورالدین انور بھوپالی

Maza Alam Mein Nahin Lutf Soz-e-jaan Mein Nahin

S Nooruddin Anwar Bhopali Urdu Poetry

لپٹ کر سو رہا ہوں لذت درد محبت سے

S Nooruddin Anwar Bhopali - ایس ۔ نورالدین انور بھوپالی

Lipat Kar So Raha Hun Lazzat-e-dard-e-mohabbat Se

S Nooruddin Anwar Bhopali Urdu Poetry

عشق میں چور بھی ہوں پیروئے منصور بھی ہوں

S Nooruddin Anwar Bhopali - ایس ۔ نورالدین انور بھوپالی

Ishq Mein Chur Bhi Hun Pairu-e-mansur Bhi Hun

S Nooruddin Anwar Bhopali Urdu Poetry

ہے میرے سامنے تصویر چشم یار ہنوز

S Nooruddin Anwar Bhopali - ایس ۔ نورالدین انور بھوپالی

Hai Mere Samne Taswir-e-chashm-e-yar Hanuz

S Nooruddin Anwar Bhopali Urdu Poetry

تری نگاہ کے قابل نہیں تو کچھ بھی نہیں

S Nooruddin Anwar Bhopali - ایس ۔ نورالدین انور بھوپالی

Teri Nigah Ke Qabil Nahin To Kuchh Bhi Nahin

S Nooruddin Anwar Bhopali Urdu Poetry

نہ لائے دیکھنے کی تاب جلوہ دیکھنے والے

S Nooruddin Anwar Bhopali - ایس ۔ نورالدین انور بھوپالی

Na Lae Dekhne Ki Tab Jalwa Dekhne Wale

S Nooruddin Anwar Bhopali Urdu Poetry

اس بت کی زباں پر لو انورؔ پھر آج تمہارا نام آیا

S Nooruddin Anwar Bhopali - ایس ۔ نورالدین انور بھوپالی

Us But Ki Zaban Par Lo Anwar Phir Aaj Tumhaara Nam Aaya

S Nooruddin Anwar Bhopali Urdu Poetry

نہ کوئی نغمہ ہوں نہ ساز خوش نوا ہوں میں

S Nooruddin Anwar Bhopali - ایس ۔ نورالدین انور بھوپالی

Na Koi Naghma Hun Na Saz-e-khush-nawa Hun Main

S Nooruddin Anwar Bhopali Urdu Poetry

You can read Maza Alam Mein Nahin Lutf Soz-e-jaan Mein Nahin written by S Nooruddin Anwar Bhopali at UrduPoint. Maza Alam Mein Nahin Lutf Soz-e-jaan Mein Nahin is one of the masterpieces written by S Nooruddin Anwar Bhopali. You can also find the complete poetry collection of S Nooruddin Anwar Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of S Nooruddin Anwar Bhopali' above.

Maza Alam Mein Nahin Lutf Soz-e-jaan Mein Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Maza Alam Mein Nahin Lutf Soz-e-jaan Mein Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.