Alfaz Ki Wiladat, Urdu Nazam By Sadiq

Alfaz Ki Wiladat is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sadiq. Alfaz Ki Wiladat comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Alfaz Ki Wiladat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

الفاظ کی ولادت

صادق

اس نے

رمتے جوگی کے آگے

روٹیاں رکھ دیں

اور بہتے پانی کے سامنے

ایک دیوار کھڑی کر کے

فاتحانہ انداز میں کہا:

دیکھو! میں نے دونوں کو روک دیا ہے

اور اب تمہاری باری ہے

یہ کہہ کر اس نے

میرے تمام رنگ کیچڑ میں الٹ دیے

میں نے دوڑ کر قلم اٹھانا چاہا

لیکن اس نے

میرے ہاتھوں کے پہونچے اتروا دیے

میں زور زور سے چیخنے لگا

تو اس نے میری زبان کاٹ کر پھینک دی

اور مجھے مضبوط اندھیروں سے جکڑ دیا

سالہا سال سے

گھٹا ٹوپ خاموشیاں بسر کرتا ہوا

میں دیکھ رہا ہوں

کیچڑ میں بکھرے ہوئے رنگوں کے بیچ

میری کٹی ہوئی زبان

درد زہ سے تڑپ رہی ہے

الفاظ کی ولادت کا دن

قریب آ گیا ہے

صادق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Alfaz Ki Wiladat

Sadiq

us ne
ramte jogi ke aage
roTiyan rakh den
aur bahte pani ke samne
ek diwar khaDi kar ke
fatehana andaz mein kaha:
dekho! main ne donon ko rok diya hai
aur ab tumhaari bai hai
ye kah kar us ne
mere tamam rang kichaD mein ulaT diye

main ne dauD kar qalam uThana chaha
lekin us ne
mere hathon ke pahonche utarwa diye
main zor zor se chiKHne laga
to us ne meri zaban kaT kar phenk di
aur mujhe mazbut andheron se jakaD diya

salha-sal se
ghaTa-Top KHamoshiyan basar karta hua
main dekh raha hun
kichaD mein bikhre hue rangon ke bich
meri kaTi hui zaban
dard-e-zeh se taDap rahi hai
alfaz ki wiladat ka din
qarib aa gaya hai

(500) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Alfaz Ki Wiladat written by Sadiq at UrduPoint. Alfaz Ki Wiladat is one of the masterpieces written by Sadiq. You can also find the complete poetry collection of Sadiq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sadiq' above.

Alfaz Ki Wiladat is a widely read Urdu Nazam. If you like Alfaz Ki Wiladat, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.