Charagh-e-sahari Hun Lekin Abhi Bujha Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Saeed Ahmad Saeed Kadwi

Charagh-e-sahari Hun Lekin Abhi Bujha Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saeed Ahmad Saeed Kadwi. Charagh-e-sahari Hun Lekin Abhi Bujha Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Charagh-e-sahari Hun Lekin Abhi Bujha Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چراغ سحری ہوں لیکن ابھی بجھا بھی نہیں

سعید احمد سعید کڑوی

چراغ سحری ہوں لیکن ابھی بجھا بھی نہیں

یہ کیسے کہہ دوں کہ اطراف میں ہوا بھی نہیں

یہ اور بات کہ ملنے میں احتیاط کرے

عجیب شخص ہے ظاہر میں وہ خفا بھی نہیں

زباں میں چاشنی پائی ہے ایسی ظالم نے

وہ سخت بات بھی کہہ دے لگے برا بھی نہیں

وہ ملنے کو تو ہمیشہ ہی مجھ سے ملتا ہے

غرور حسن تو دیکھو کہ بولتا بھی نہیں

شب فراق گزاروں میں کس طرح اپنی

فلک پہ چاند ستاروں کا قافلہ بھی نہیں

جھنجھوڑتا ہے مجھے رات دن ضمیر مرا

مرے گناہ کی دنیا میں کیا سزا بھی نہیں

میں جانتا ہوں کہ لہریں مجھے ڈبو دیں گی

سوائے اس کے کوئی اور آسرا بھی نہیں

ہر ایک شخص کو ایسا کہاں سلیقہ ملا

وہ بات کرتا ہے ایسی کہ کچھ کہا بھی نہیں

میں چل رہا ہوں سعیدؔ ایسے راستے پہ جہاں

سوائے دھوپ کے سر پر کہیں گھٹا بھی نہیں

سعید احمد سعید کڑوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Charagh-e-sahari Hun Lekin Abhi Bujha Bhi Nahin

Saeed Ahmad Saeed Kadwi

charagh-e-sahari hun lekin abhi bujha bhi nahin
ye kaise kah dun ki atraf mein hawa bhi nahin

ye aur baat ki milne mein ehtiyat kare
ajib shaKHs hai zahir mein wo KHafa bhi nahin

zaban mein chashni pai hai aisi zalim ne
wo saKHt baat bhi kah de lage bura bhi nahin

wo milne ko to hamesha hi mujh se milta hai
ghurur-e-husn to dekho ki bolta bhi nahin

shab-e-firaq guzarun main kis tarah apni
falak pe chand sitaron ka qafila bhi nahin

jhinjhoDta hai mujhe raat-din zamir mera
mere gunah ki duniya mein kya saza bhi nahin

main jaanta hun ki lahren mujhe Dubo dengi
siwae is ke koi aur aasra bhi nahin

har ek shaKHs ko aisa kahan saliqa mila
wo baat karta hai aisi ki kuchh kaha bhi nahin

main chal raha hun 'said' aise raste pe jahan
siwae dhup ke sar par kahin ghaTa bhi nahin

(463) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Charagh-e-sahari Hun Lekin Abhi Bujha Bhi Nahin written by Saeed Ahmad Saeed Kadwi at UrduPoint. Charagh-e-sahari Hun Lekin Abhi Bujha Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Saeed Ahmad Saeed Kadwi. You can also find the complete poetry collection of Saeed Ahmad Saeed Kadwi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saeed Ahmad Saeed Kadwi' above.

Charagh-e-sahari Hun Lekin Abhi Bujha Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Charagh-e-sahari Hun Lekin Abhi Bujha Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.