Tasawwur Mein Saja Kar KHushnuma Taswir Rakhte Hain, Urdu Ghazal By Saeed Ahsan

Tasawwur Mein Saja Kar KHushnuma Taswir Rakhte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saeed Ahsan. Tasawwur Mein Saja Kar KHushnuma Taswir Rakhte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tasawwur Mein Saja Kar KHushnuma Taswir Rakhte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تصور میں سجا کر خوش نما تصویر رکھتے ہیں

سعید احسن

تصور میں سجا کر خوش نما تصویر رکھتے ہیں

ہم اپنے خواب کی دہلیز پہ تعبیر رکھتے ہیں

بنی ہے کس طرح جنت جہنم اک نظر دیکھو

تمہارے سامنے ہم وادئ کشمیر رکھتے ہیں

وہ سرکش ہے اگر موقع ملے فتنہ کھڑا کر دے

ہم اپنے نفس کو پا بستۂ زنجیر رکھتے ہیں

ہے اپنا ہر عمل تقدیر کی آندھی سے شرمندہ

اگرچہ ہم جلا کر مشعل تدبیر رکھتے ہیں

گرے گی بالیقیں سر پر کسی دن چھت مصائب کی

اگر ہم حوصلوں کے کھوکھلے شہتیر رکھتے ہیں

مکین قصر ہو کر تم سکون دل نہیں رکھتے

یہاں ہم ہو کے بے گھر چین کی جاگیر رکھتے ہیں

کسی کے دل میں کیا ہے چہرے سے ظاہر نہیں ہوتا

وہ اندر اور باہر مختلف تصویر رکھتے ہیں

زمانہ ایٹمی ہتھیار سے ہے لیس لیکن ہم

گھروں میں زنگ آلودہ وہی شمشیر رکھتے ہیں

ہمیں کوتاہ فہمی ایک پل بھاتی نہیں احسنؔ

ہماری سوچ روشن ہے بہت تنویر رکھتے ہیں

سعید احسن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tasawwur Mein Saja Kar KHushnuma Taswir Rakhte Hain

Saeed Ahsan

tasawwur mein saja kar KHushnuma taswir rakhte hain
hum apne KHwab ki dahliz pe ta۔bir rakhte hain

bani hai kis tarah jannat jahannum ek nazar dekho
tumhaare samne hum wadi-e-kashmir rakhte hain

wo sarkash hai agar mauqa mile fitna khaDa kar de
hum apne nafs ko pa-basta-e-zanjir rakhte hain

hai apna har amal taqdir ki aandhi se sharminda
agarche hum jala kar mashal-e-tadbir rakhte hain

giregi bil-yaqin sar par kisi din chhat masaib ki
agar hum hauslon ke khokhle shahtir rakhte hain

makin-e-qasr ho kar tum sukun-e-dil nahin rakhte
yahan hum ho ke be-ghar chain ki jagir rakhte hain

kisi ke dil mein kya hai chehre se zahir nahin hota
wo andar aur bahar muKHtalif taswir rakhte hain

zamana atomi hathiyar se hai lais lekin hum
gharon mein zang-aluda wahi shamshir rakhte hain

hamein kotah-fahmi ek pal bhati nahin 'ahsan'
hamari soch raushan hai bahut tanwir rakhte hain

(529) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tasawwur Mein Saja Kar KHushnuma Taswir Rakhte Hain written by Saeed Ahsan at UrduPoint. Tasawwur Mein Saja Kar KHushnuma Taswir Rakhte Hain is one of the masterpieces written by Saeed Ahsan. You can also find the complete poetry collection of Saeed Ahsan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saeed Ahsan' above.

Tasawwur Mein Saja Kar KHushnuma Taswir Rakhte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tasawwur Mein Saja Kar KHushnuma Taswir Rakhte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.