Har Ek Phul Ke Daman Mein Khaar Kaisa Hai, Urdu Ghazal By Sahir Hoshiyarpuri

Har Ek Phul Ke Daman Mein Khaar Kaisa Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sahir Hoshiyarpuri. Har Ek Phul Ke Daman Mein Khaar Kaisa Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Ek Phul Ke Daman Mein Khaar Kaisa Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر ایک پھول کے دامن میں خار کیسا ہے

ساحر ہوشیار پوری

ہر ایک پھول کے دامن میں خار کیسا ہے

بتائے کون کہ رنگ بہار کیسا ہے

وہ سامنے تھے تو دل کو سکوں نہ تھا حاصل

چلے گئے ہیں تو اب بے قرار کیسا ہے

یقین تھا کہ نہ آئے گا مجھ سے ملنے کوئی

تو پھر یہ دل کو مرے انتظار کیسا ہے

اگر کسی نے تمہارا بھی دل نہیں توڑا

تو آنسوؤں کا رواں آبشار کیسا ہے

مجھے خبر ہے کہ ہے بے وفا بھی ظالم بھی

مگر وفا کا تری اعتبار کیسا ہے

ترے مکان کی دیوار پر جو ہے چسپاں

تلاش کس کی ہے یہ اشتہار کیسا ہے

یہ کس کے خون سے ہے دامن چمن رنگیں

یہ سرخ پھول سر شاخ دار کیسا ہے

اب ان کی برق نظر کو دکھاؤ آئینہ

وہ پوچھتے ہیں دل بے قرار کیسا ہے

مری خبر تو کسی کو نہیں مگر اخترؔ

زمانہ اپنے لئے ہوشیار کیسا ہے

ساحر ہوشیار پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Ek Phul Ke Daman Mein Khaar Kaisa Hai

Sahir Hoshiyarpuri

har ek phul ke daman mein KHar kaisa hai
batae kaun ki rang-e-bahaar kaisa hai

wo samne the to dil ko sukun na tha hasil
chale gae hain to ab be-qarar kaisa hai

yaqin tha ki na aaega mujh se milne koi
to phir ye dil ko mere intizar kaisa hai

agar kisi ne tumhaara bhi dil nahin toDa
to aansuon ka rawan aabshaar kaisa hai

mujhe KHabar hai ki hai be-wafa bhi zalim bhi
magar wafa ka teri e'tibar kaisa hai

tere makan ki diwar par jo hai chaspan
talash kis ki hai ye ishtihaar kaisa hai

ye kis ke KHun se hai daman-e-chaman rangin
ye surKH phul sar-e-shaKH-dar kaisa hai

ab un ki barq-e-nazar ko dikhao aaina
wo puchhte hain dil-e-be-qarar kaisa hai

meri KHabar to kisi ko nahin magar 'aKHtar'
zamana apne liye hoshiyar kaisa hai

(489) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Ek Phul Ke Daman Mein Khaar Kaisa Hai written by Sahir Hoshiyarpuri at UrduPoint. Har Ek Phul Ke Daman Mein Khaar Kaisa Hai is one of the masterpieces written by Sahir Hoshiyarpuri. You can also find the complete poetry collection of Sahir Hoshiyarpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahir Hoshiyarpuri' above.

Har Ek Phul Ke Daman Mein Khaar Kaisa Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Ek Phul Ke Daman Mein Khaar Kaisa Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.