Gham Raha Baqi Na Gham Ka Imtihan Baqi Raha, Urdu Ghazal By Sajid Rizwi

Gham Raha Baqi Na Gham Ka Imtihan Baqi Raha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sajid Rizwi. Gham Raha Baqi Na Gham Ka Imtihan Baqi Raha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gham Raha Baqi Na Gham Ka Imtihan Baqi Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غم رہا باقی نہ غم کا امتحاں باقی رہا

ساجد رضوی

غم رہا باقی نہ غم کا امتحاں باقی رہا

میرے غم سے عشق کا نام و نشاں باقی رہا

فصل گل کا اس سے بڑھ کر اور کیا ہوگا سلوک

بجلیوں کی چھاؤنی میں آشیاں باقی رہا

جب کسی صورت وہ میرا درد دل سنتے نہیں

پھر کہاں لطف زباں لطف بیاں باقی رہا

آخری دم تک محبت میں ہزاروں غم سہے

مجھ پہ لطف زیست کا پھر بھی گماں باقی رہا

تنکا تنکا گلستاں کا ہو گیا صرف خزاں

بجلیوں کی نذر کو اک آشیاں باقی رہا

پھول بنتے ہی کلی کا راز ہستی کھل گیا

چار دن بھی حسن کا پردہ کہاں باقی رہا

رفتہ رفتہ اٹھ گئے سارے حجابات نظر

پردۂ ناز ان کے میرے درمیاں باقی رہا

کتنی دردانگیز ہے اے دوست تاریخ بہار

لٹ گیا سارا چمن اک آشیاں باقی رہا

درد و غم کی چاندنی میں رحم دل ہنسنے لگے

اشک باری میں جو عالم تھا کہاں باقی رہا

رہنما ہیں وہ نہ وہ جادہ نہ وہ رفتار ہے

کارواں کیسا فریب کارواں باقی رہا

بات یہ ساجدؔ زمانے بھر میں ہے مانی ہوئی

میرے ہی سجدوں سے ان کا آستاں باقی رہا

ساجد رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gham Raha Baqi Na Gham Ka Imtihan Baqi Raha

Sajid Rizwi

gham raha baqi na gham ka imtihan baqi raha
mere gham se ishq ka nam-o-nishan baqi raha

fasl-e-gul ka is se baDh kar aur kya hoga suluk
bijliyon ki chhawni mein aashiyan baqi raha

jab kisi surat wo mera dard-e-dil sunte nahin
phir kahan lutf-e-zaban lutf-e-bayan baqi raha

aaKHiri dam tak mohabbat mein hazaron gham sahe
mujh pe lutf-e-zist ka phir bhi guman baqi raha

tinka tinka gulsitan ka ho gaya sarf-e-KHizan
bijliyon ki nazr ko ek aashiyan baqi raha

phul bante hi kali ka raaz-e-hasti khul gaya
chaar din bhi husn ka parda kahan baqi raha

rafta rafta uTh gae sare hijabaat-e-nazar
parda-e-naz un ke mere darmiyan baqi raha

kitni dard-angez hai ai dost tariKH-e-bahaar
luT gaya sara chaman ek aashiyan baqi raha

dard-o-gham ki chandni mein rahm-dil hansne lage
ashk-bari mein jo aalam tha kahan baqi raha

rahnuma hain wo na wo jada na wo raftar hai
karwan kaisa fareb-e-karwan baqi raha

baat ye 'sajid' zamane bhar mein hai mani hui
mere hi sajdon se un ka aastan baqi raha

(381) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gham Raha Baqi Na Gham Ka Imtihan Baqi Raha written by Sajid Rizwi at UrduPoint. Gham Raha Baqi Na Gham Ka Imtihan Baqi Raha is one of the masterpieces written by Sajid Rizwi. You can also find the complete poetry collection of Sajid Rizwi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajid Rizwi' above.

Gham Raha Baqi Na Gham Ka Imtihan Baqi Raha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gham Raha Baqi Na Gham Ka Imtihan Baqi Raha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.