Raat, Urdu Nazam By Sajjad Baqar Rizvi

Raat is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sajjad Baqar Rizvi. Raat comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Raat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رات

سجاد باقر رضوی

آندھیاں آسمانوں کا نوحہ زمیں کو سناتی ہیں

اپنی گلو گیر آواز میں کہہ رہی ہیں،

درختوں کی چنگھاڑ

نیچی چھتوں پر یہ رقص آسمانی بگولوں کا

اونچی چھتوں کے تلے کھیلے جاتے ڈرامہ کا منظر ہے

یہ اس ظلم کا استعارہ ہے

جو شہ رگ سے ہابیل کی گرم و تازہ لہو بن کے ابلا ہے

آندھیوں میں تھا اک شور کرب و بلا

اور میں نے سنا کربلا۔۔۔کربلا

رات کے سہم سے، ان کہے وہم سے

بند آنکھوں میں وحشت زدہ خواب اترا

صبح اخبار کی سرخیاں بن گیا

سجاد باقر رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raat

Sajjad Baqar Rizvi

aandhiyan aasmanon ka nauha zamin ko sunati hain
apni gulu-gir aawaz mein kah rahi hain,
daraKHton ki chinghaD
nichi chhaton par ye raqs aasmani bagulon ka
unchi chhaton ke tale khele jate Darama ka manzar hai
ye us zulm ka istiara hai
jo shah-e-rag se habil ki garm o taza lahu ban ke ubla hai
aandhiyon mein tha ek shor-e-karb-o-bala
aur main ne suna karbalakarbala
raat ke saham se, an-kahe wahm se
band aankhon mein wahshat zada KHwab utra
subah aKHbar ki surKHiyan ban gaya

(428) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raat written by Sajjad Baqar Rizvi at UrduPoint. Raat is one of the masterpieces written by Sajjad Baqar Rizvi. You can also find the complete poetry collection of Sajjad Baqar Rizvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajjad Baqar Rizvi' above.

Raat is a widely read Urdu Nazam. If you like Raat, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.