Aane Wali Subh Ki Baaten, Urdu Nazam By Salahuddin Mohammad

Aane Wali Subh Ki Baaten is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Salahuddin Mohammad. Aane Wali Subh Ki Baaten comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Aane Wali Subh Ki Baaten on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آنے والی صبح کی باتیں

صلاح الدین محمد

گو میرے دل میں

اور افق کی لالی میں

ہے رشتہ پیار کا

پھر بھی ہم

ریگ بیاباں میں اس سے

مقتل کے سوا کیا اپنائیں

یہ ریت جگر گوشے سورج کے

جانے کب

کس آنے والے عالم میں

پھر لالہ و گل بن کر نکھریں

اور دور افق کی لالی کے ہم رنگ بنیں

آج تو میرے دل کا بس اتنا رشتہ ہے

رنگ شفق سے

دونوں روشن روپ طلب کے

دونوں ہی قاتل ہیں شب کے

پھر بھی ان میں فرق بڑا ہے

دل ناداں ہے

دل ناداں

تکمیل تمنا کی باتیں

آغاز سفر کے لمحوں سے

ہے آخر شب بھی دور بہت

اس بار سحر کے لمحوں سے

صلاح الدین محمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aane Wali Subh Ki Baaten

Salahuddin Mohammad

go mere dil mein
aur ufuq ki lali mein
hai rishta pyar ka
phir bhi hum
reg-e-bayaban mein is se
maqtal ke siwa kya apnaen
ye ret jigar goshe suraj ke
jaane kab
kis aane wale aalam mein
phir lala-o-gul ban kar nikhren
aur dur ufuq ki lali ke ham-rang banen
aaj to mere dil ka bas itna rishta hai
rang-e-shafaq se
donon raushan rup talab ke
donon hi qatil hain shab ke
phir bhi un mein farq baDa hai
dil nadan hai
dil-e-nadan
takmil-e-tamanna ki baaten
aaghaz-e-safar ke lamhon se
hai aaKHir-e-shab bhi dur bahut
is bar sahar ke lamhon se

(376) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aane Wali Subh Ki Baaten written by Salahuddin Mohammad at UrduPoint. Aane Wali Subh Ki Baaten is one of the masterpieces written by Salahuddin Mohammad. You can also find the complete poetry collection of Salahuddin Mohammad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Salahuddin Mohammad' above.

Aane Wali Subh Ki Baaten is a widely read Urdu Nazam. If you like Aane Wali Subh Ki Baaten, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.