Zamane Ke Har Ek Wahm-o-guman Se Dur Rahta Hun, Urdu Ghazal By Saleem Akhtar Malik

Zamane Ke Har Ek Wahm-o-guman Se Dur Rahta Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saleem Akhtar Malik. Zamane Ke Har Ek Wahm-o-guman Se Dur Rahta Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zamane Ke Har Ek Wahm-o-guman Se Dur Rahta Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زمانے کے ہر اک وہم و گماں سے دور رہتا ہوں

سلیم اختر ملک

زمانے کے ہر اک وہم و گماں سے دور رہتا ہوں

میں دانستہ امیر کارواں سے دور رہتا ہوں

نہیں اب مجھ میں طاقت ہجرتیں برداشت کرنے کی

کوئی عالم بھی ہو میں امتحاں سے دور رہتا ہوں

بہاریں بھی خزاں کے روپ میں جلوہ دکھاتی ہیں

اسی باعث میں صحن گلستاں سے دور رہتا ہوں

مجھے یہ زندگی کی ڈور لگتی ہے بہت پیاری

ترے خود ساختہ تیر و کماں سے دور رہتا ہوں

کوئی روکے ہے مجھ کو تیری جانب پیش قدمی سے

زمیں کا رزق ہوں اور آسماں سے دور رہتا ہوں

اگرچہ ہے ہنر کی چاشنی میرے رگ و پے میں

نہ جانے کیوں حد کون و مکاں سے دور رہتا ہوں

سب اس کی گفتگو سننے کا دل میں شوق رکھتے ہیں

مگر میں ہوں کہ اس جادو بیاں سے دور رہتا ہوں

نہیں چلتی تعاقب میں مرے اب گردش دوراں

میں اخترؔ حلقۂ آوارگاں سے دور رہتا ہوں

سلیم اختر ملک

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zamane Ke Har Ek Wahm-o-guman Se Dur Rahta Hun

Saleem Akhtar Malik

zamane ke har ek wahm-o-guman se dur rahta hun
main danista amir-e-karwan se dur rahta hun

nahin ab mujh mein taqat hijraten bardasht karne ki
koi aalam bhi ho main imtihan se dur rahta hun

bahaaren bhi KHizan ke rup mein jalwa dikhati hain
isi bais main sehn-e-gulsitan se dur rahta hun

mujhe ye zindagi ki Dor lagti hai bahut pyari
tere KHud-saKHta tir-o-kaman se dur rahta hun

koi roke hai mujh ko teri jaanib pesh-qadmi se
zamin ka rizq hun aur aasman se dur rahta hun

agarche hai hunar ki chashni mere rag-o-pai mein
na jaane kyon had-e-kaun-o-makan se dur rahta hun

sab us ki guftugu sunne ka dil mein shauq rakhte hain
magar main hun ki us jadu-bayan se dur rahta hun

nahin chalti taaqub mein mere ab gardish-e-dauran
main 'aKHtar' halqa-e-awargan se dur rahta hun

(272) ووٹ وصول ہوئے

You can read Zamane Ke Har Ek Wahm-o-guman Se Dur Rahta Hun written by Saleem Akhtar Malik at UrduPoint. Zamane Ke Har Ek Wahm-o-guman Se Dur Rahta Hun is one of the masterpieces written by Saleem Akhtar Malik. You can also find the complete poetry collection of Saleem Akhtar Malik by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saleem Akhtar Malik' above.

Zamane Ke Har Ek Wahm-o-guman Se Dur Rahta Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zamane Ke Har Ek Wahm-o-guman Se Dur Rahta Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.