Dastanon Mein Wo Jadu Hai Na Tafsiron Mein Hai, Urdu Ghazal By Saleem Betab

Dastanon Mein Wo Jadu Hai Na Tafsiron Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saleem Betab. Dastanon Mein Wo Jadu Hai Na Tafsiron Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dastanon Mein Wo Jadu Hai Na Tafsiron Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

داستانوں میں وہ جادو ہے نہ تفسیروں میں ہے

سلیم بیتاب

داستانوں میں وہ جادو ہے نہ تفسیروں میں ہے

جو تری آنکھوں کی بے آواز تقریروں میں ہے

رائیگاں ہیں کل کی خوشیاں کل کے غم بھی بے اثر

اب بھلا رکھا ہی کیا ماضی کی تصویروں میں ہے

تیری آنکھوں میں اگر پڑھنے کی ہمت ہے تو پڑھ

کرب کا مضموں مرے ماتھے کی تحریروں میں ہے

اس کے اک اک انگ میں وہ بارہا پائی گئی

جو تناسب کی کشش ترشے ہوئے ہیروں میں ہے

وہ چبھن شعروں میں ڈھل جائے تو محشر ہو بپا

جو ابھی اس شخص کی گفتار کے تیروں میں ہے

ہر قدم پر چیخ اٹھتی ہے ہزاروں گھنٹیاں

نغمگی کیسی مرے پاؤں کی زنجیروں میں ہے

آنکھ کھلتے ہی عجب دھڑکا سا دل کو لگ گیا

وہ کہاں سپنوں میں تھا جو ان کی تعبیروں میں ہے

مطمئن ہیں ہم کسی صورت نہ منظر سے ہیں خوش

نا شکیبائی کا نشتر اپنی تقدیروں میں ہے

دھوپ کی شدت نے ان کو کر دیا گرچہ نڈھال

پھر بھی چلنے کی لگن بیتابؔ رہ گیروں میں ہے

سلیم بیتاب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dastanon Mein Wo Jadu Hai Na Tafsiron Mein Hai

Saleem Betab

dastanon mein wo jadu hai na tafsiron mein hai
jo teri aankhon ki be-awaz taqriron mein hai

raegan hain kal ki KHushiyan kal ke gham bhi be-asar
ab bhala rakkha hi kya mazi ki taswiron mein hai

teri aankhon mein agar paDhne ki himmat hai to paDh
karb ka mazmun mere mathe ki tahriron mein hai

us ke ek ek ang mein wo barha pai gai
jo tanasub ki kashish tarshe hue hiron mein hai

wo chubhan sheron mein Dhal jae to mahshar ho bapa
jo abhi us shaKHs ki guftar ke tiron mein hai

har-qadam par chiKH uThti hai hazaron ghanTiyan
naghmagi kaisi mere panw ki zanjiron mein hai

aankh khulte hi ajab dhaDka sa dil ko lag gaya
wo kahan sapnon mein tha jo un ki tabiron mein hai

mutmain hain hum kisi surat na manzar se hain KHush
na-shakebai ka nashtar apni taqdiron mein hai

dhup ki shiddat ne un ko kar diya garche niDhaal
phir bhi chalne ki lagan 'betab' rahgiron mein hai

(531) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dastanon Mein Wo Jadu Hai Na Tafsiron Mein Hai written by Saleem Betab at UrduPoint. Dastanon Mein Wo Jadu Hai Na Tafsiron Mein Hai is one of the masterpieces written by Saleem Betab. You can also find the complete poetry collection of Saleem Betab by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saleem Betab' above.

Dastanon Mein Wo Jadu Hai Na Tafsiron Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dastanon Mein Wo Jadu Hai Na Tafsiron Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.